Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
noImage

Moghisuddin Fareedi

1926 | Delhi, India

Moghisuddin Fareedi

Ghazal 16

Sher-o-Shayari 6

is daur meñ insān chehra nahīñ miltā

kab se maiñ naqāboñ taheñ khol rahā huuñ

is daur mein insan ka chehra nahin milta

kab se main naqabon ki tahen khol raha hun

tirī adāoñ sādgī meñ kisī ko mahsūs bhī na hogā

abhī qayāmat ik karishma hayā ke dāman meñ pal rahā hai

teri adaon ki sadgi mein kisi ko mahsus bhi na hoga

abhi qayamat ka ek karishma haya ke daman mein pal raha hai

sirf alfāz pe mauqūf nahīñ lutf-e-suḳhan

aañkh ḳhāmosh agar hai to zabāñ kuchh bhī nahīñ

sirf alfaz pe mauquf nahin lutf-e-suKHan

aankh KHamosh agar hai to zaban kuchh bhi nahin

  • Share this

ab kisī dard shikva na kisī ġham gilā

merī hastī ne baḌī der meñ paayā hai mujhe

ab kisi dard ka shikwa na kisi gham ka gila

meri hasti ne baDi der mein paya hai mujhe

hai 'farīdī' ajab rañg-e-bazm-e-jahāñ miT rahā hai yahāñ farq-e-sūd-o-ziyāñ

nuur bhiik tāroñ se lene lagā āftāb apnī ik ik kiran bech kar

hai 'faridi' ajab rang-e-bazm-e-jahan miT raha hai yahan farq-e-sud-o-ziyan

nur ki bhik taron se lene laga aaftab apni ek ek kiran bech kar

BOOKS 11

More Authors From "Delhi"

Recitation

Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

Register for free
Speak Now