Mohammad Ali Sahil
Ghazal 16
Sher-o-Shayari 11
ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai
apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā
KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
-
Share this
- See Ghazal
ham haiñ tahzīb ke alam-bardār
ham ko urdu zabān aatī hai
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 1
mazaaq-e-Gam u.Daanaa ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa kisii kaa muskuraanaa ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa kabhii nii.nde.n churaanaa jin kii mujh ko achchhaa lagtaa thaa nazar un kaa churaanaa ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa jinhe.n mujh par yaqii.n hai merii chaahat par bharosa hai bharam un kaa miTaanaa ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa nasheman mere dil kaa jab se tinkaa tinkaa bikhraa hai ko.ii bhii aashiyaana ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa mohabbat karne vaalo.n ne jo chho.De hai.n zamaane me.n nishaa.n un ke miTaanaa ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa tirii duniyaa se shaayad bhar chukaa hai meraa dil 'saahil' yahaa.n kaa aab-o-daana ab mujhe achchhaa nahii.n lagtaa