Sher of Mohammad Ali Sahil
duur rahtī haiñ sadā un se balā.eñ sāhil
apne maañ baap kī jo roz duā lete haiñ
dur rahti hain sada un se balaen sahil
apne man bap ki jo roz dua lete hain
ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai
apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā
KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
ham haiñ tahzīb ke alam-bardār
ham ko urdu zabān aatī hai
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
mas.ale to zindagī meñ roz aate haiñ magar
zindagī ke mas.aloñ kā hal nikalnā chāhiye
masale to zindagi mein roz aate hain magar
zindagi ke masalon ka hal nikalna chahiye
merī āñkhoñ meñ hue raushan jo ashkoñ ke charāġh
un ke hoñToñ par tabassum kā diyā jaltā rahā
meri aankhon mein hue raushan jo ashkon ke charagh
un ke honTon par tabassum ka diya jalta raha
koī kartā hai jab hindostān kī baat a 'sāhil'
mujhe iqbāl kā qaumī tarāna yaad aatā hai
koi karta hai jab hindostan ki baat a 'sahil'
mujhe iqbaal ka qaumi tarana yaad aata hai
merī nīndeñ harām kyā hoñgī
ghar meñ rizq-e-halāl aatā hai
meri ninden haram kya hongi
ghar mein rizq-e-halal aata hai
marte dam tak sab mujh ko insān kaheñ
aisā hī kirdār mirā ho yā-allāh
marte dam tak sab mujh ko insan kahen
aisa hi kirdar mera ho ya-allah
sab ke hoñToñ pe vārdāt ke ba.ad
sirf merā hī naam hotā hai
sab ke honTon pe wardat ke baad
sirf mera hi nam hota hai
jo asāsa zindagī kā us ne joḌā umr bhar
maut kā sailāb jab aayā to sab kuchh bah gayā
jo asasa zindagi ka us ne joDa umr bhar
maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
vo yaqīnan valī sifat hogā
ḳhair se jo bhī shar meñ rahtā hai
wo yaqinan wali sifat hoga
KHair se jo bhi shar mein rahta hai