Sher of Naqsh Layalpuri
ye anjuman ye qahqahe ye mahvashoñ kī bhiiḌ
phir bhī udaas phir bhī akelī hai zindagī
ye anjuman ye qahqahe ye mahwashon ki bhiD
phir bhi udas phir bhi akeli hai zindagi
ham ne kyā pā liyā hindū yā musalmāñ ho kar
kyuuñ na insāñ se mohabbat kareñ insāñ ho kar
hum ne kya pa liya hindu ya musalman ho kar
kyun na insan se mohabbat karen insan ho kar
maiñ duniyā kī haqīqat jāntā huuñ
kise miltī hai shohrat jāntā huuñ
main duniya ki haqiqat jaanta hun
kise milti hai shohrat jaanta hun
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
naam hoñToñ pe tirā aa.e to rāhat sī mile
tū tasallī hai dilāsa hai duā hai kyā hai
nam honTon pe tera aae to rahat si mile
tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai