Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Navin C. Chaturvedi's Photo'

Navin C. Chaturvedi

1968 | Mumbai, India

Sher of Navin C. Chaturvedi

450
Favorite

SORT BY

pyaas ko pyaar karnā thā keval

ek akhshar badal na paa.e ham

pyas ko pyar karna tha kewal

ek akhshar badal na pae hum

bhulā diyā hai jo ne to kuchh malāl nahīñ

ka.ī dinoñ se mujhe bhī tirā ḳhayāl nahīñ

bhula diya hai jo tu ne to kuchh malal nahin

kai dinon se mujhe bhi tera KHayal nahin

baġhair pūchhe mire sar meñ bhar diyā maz.hab

maiñ roktā bhī to kaise ki maiñ to bachcha thā

baghair puchhe mere sar mein bhar diya mazhab

main rokta bhi to kaise ki main to bachcha tha

mirā saaya mire bas meñ nahīñ hai

magar duniyā pe daavā kar rahā huuñ

mera saya mere bas mein nahin hai

magar duniya pe dawa kar raha hun

kis ko fursat hai jo harfoñ harārat samjhā.e

baat āsānī tak aa.e to sabhī tak pahuñche

kis ko fursat hai jo harfon ki hararat samjhae

baat aasani tak aae to sabhi tak pahunche

baiThe-baiThe safar sirf hai ḳhvāboñ futūr

jism darvāze tak aa.e to galī tak pahuñche

baiThe-baiThe ka safar sirf hai KHwabon ka futur

jism darwaze tak aae to gali tak pahunche

ab havāoñ ke daam khulne haiñ

ḳhushbuoñ to ho chukā saudā

ab hawaon ke dam khulne hain

KHushbuon ka to ho chuka sauda

ham to us ke zehn uryāniyoñ par mar miTe

daad agarche de rahe haiñ jism aur poshāk par

hum to us ke zehn ki uryaniyon par mar miTe

dad agarche de rahe hain jism aur poshak par

na.e safar har ik moḌ bhī nayā thā magar

har ek moḌ pe koī sadā.eñ detā thā

nae safar ka har ek moD bhi naya tha magar

har ek moD pe koi sadaen deta tha

parsoñ maiñ bāzār gayā thā darpan lene ḳhātir

kyā bolūñ dūkān pe maiñ sharm ke maare gaḌ baiThā

parson main bazar gaya tha darpan lene ki KHatir

kya bolun dukan pe hi main sharm ke mare gaD baiTha

kuchh bhañvar yuuñ uchaT paḌe the jyuuñ

ḳhud-kushī par ho koī āmāda

kuchh bhanwar yun uchaT paDe the jyun

KHud-kushi par ho koi aamada

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now