Sher of Nazm Tabatabai
bichhaḌ ke tujh se mujhe hai umiid milne kī
sunā hai ruuh ko aanā hai phir badan kī taraf
bichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki
suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf
-
Tag : Ummeed
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uḌaa.ī ḳhaak jis sahrā meñ tere vāste maiñ ne
thakā-māñda milā in manziloñ meñ āsmāñ mujh ko
uDai KHak jis sahra mein tere waste main ne
thaka-manda mila in manzilon mein aasman mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dil is tarah havā-e-mohabbat meñ jal gayā
bhaḌkī kahīñ na aag na uTThā dhuāñ kahīñ
dil is tarah hawa-e-mohabbat mein jal gaya
bhaDki kahin na aag na uTTha dhuan kahin
banāyā toḌ ke ā.īna ā.īna-ḳhāna
na dekhī raah jo ḳhalvat se anjuman kī taraf
banaya toD ke aaina aaina-KHana
na dekhi rah jo KHalwat se anjuman ki taraf
-
Tag : Aaina
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
nashshe meñ sūjhtī hai mujhe duur duur kī
naddī vo sāmne hai sharāb-e-tuhūr kī
nashshe mein sujhti hai mujhe dur dur ki
naddi wo samne hai sharab-e-tuhur ki
dard-e-dil se ishq ke be-pardagī hotī nahīñ
ik chamak uThtī hai lekin raushnī hotī nahīñ
dard-e-dil se ishq ke be-pardagi hoti nahin
ek chamak uThti hai lekin raushni hoti nahin
tū ne to apne dar se mujh ko uThā diyā hai
parchhā.īñ phir rahī hai merī usī galī meñ
tu ne to apne dar se mujh ko uTha diya hai
parchhain phir rahi hai meri usi gali mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jo ahl-e-dil haiñ alag haiñ vo ahl-e-zāhir se
na maiñ huuñ shaiḳh kī jānib na barhaman kī taraf
jo ahl-e-dil hain alag hain wo ahl-e-zahir se
na main hun shaiKH ki jaanib na barhaman ki taraf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
apnī duniyā to banā lī thī riyā-kāroñ ne
mil gayā ḳhuld bhī allāh ko phuslāne se
apni duniya to bana li thi riya-karon ne
mil gaya KHuld bhi allah ko phuslane se
ka.aba o but-ḳhāna aarif kī nazar se dekhiye
ḳhvāb donoñ ek hī haiñ farq hai ta.abīr meñ
kaba o but-KHana aarif ki nazar se dekhiye
KHwab donon ek hi hain farq hai tabir mein
mirī bātoñ meñ kyā ma.alūm kab so.e vo kab jaage
sire se is liye kahnī paḌī phir dāstāñ mujh ko
meri baaton mein kya malum kab soe wo kab jage
sire se is liye kahni paDi phir dastan mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
roz-e-siyah meñ saath koī de to jāniye
jab tak faroġh-e-sham.a hai parvāna saath hai
roz-e-siyah mein sath koi de to jaaniye
jab tak farogh-e-shama hai parwana sath hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
loTte rahte haiñ mujh par chāhne vāloñ ke dil
varna yuuñ poshāk terī malgajī hotī nahīñ
loTte rahte hain mujh par chahne walon ke dil
warna yun poshak teri malgaji hoti nahin
nazar kahīñ nahīñ ab aate hazrat-e-nāseh
sunā hai ghar meñ kisī mah-laqā ke baiTh ga.e
nazar kahin nahin ab aate hazrat-e-naseh
suna hai ghar mein kisi mah-laqa ke baiTh gae
asīrī meñ bahār aa.ī hai fariyād-o-fuġhāñ kar leñ
nafas ko ḳhūñ-fishāñ kar leñ qafas ko bostāñ kar leñ
asiri mein bahaar aai hai fariyaad-o-fughan kar len
nafas ko KHun-fishan kar len qafas ko bostan kar len
sahar ko uThte haiñ vo dekh kar kaf-e-rañgīñ
ab aa.ine pe bhī sikke hinā ke baiTh ga.e
sahar ko uThte hain wo dekh kar kaf-e-rangin
ab aaine pe bhi sikke hina ke baiTh gae
kiyā hai us ne har ik se visāl kā va.ada
is ishtiyāq meñ marnā zarūrī hotā hai
kiya hai us ne har ek se visal ka wada
is ishtiyaq mein marna zaruri hota hai
yuuñ maiñ sīdhā gayā vahshat meñ bayābāñ kī taraf
haath jis tarah se aatā hai garebāñ kī taraf
yun main sidha gaya wahshat mein bayaban ki taraf
hath jis tarah se aata hai gareban ki taraf
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
uḌ ke jaatī hai mirī ḳhaak idhar gaah udhar
kuchh patā de na ga.ī umr-e-gurezāñ apnā
uD ke jati hai meri KHak idhar gah udhar
kuchh pata de na gai umr-e-gurezan apna
ye dil kī be-qarārī ḳhaak ho kar bhī na jā.egī
sunātī hai lab-e-sāhil se ye reg-e-ravāñ mujh ko
ye dil ki be-qarari KHak ho kar bhi na jaegi
sunati hai lab-e-sahil se ye reg-e-rawan mujh ko
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download