Sher of Obaid Haris
nayā chaar din meñ purānā huā
yahī sab huā to nayā kyā huā
naya chaar din mein purana hua
yahi sab hua to naya kya hua
kholo na koī aib kisī kā bhī yahāñ par
aaseb ko mil jā.egā darvāza khulā sā
kholo na koi aib kisi ka bhi yahan par
aaseb ko mil jaega darwaza khula sa
ḳhālī dīvār burī lagtī hai
merī tasvīr hī rahne dete
KHali diwar buri lagti hai
meri taswir hi rahne dete
tah-ba-tah khultī hī rahtī hai sadā
'mīr' ke dīvān sī hai zindagī
tah-ba-tah khulti hi rahti hai sada
'mir' ke diwan si hai zindagi
ham kitāboñ meñ jise paate haiñ 'hāris'
aadmī vaisā koī miltā kahāñ hai
hum kitabon mein jise pate hain 'haaris'
aadmi waisa koi milta kahan hai
inheñ aage nikal jaane do 'hāris'
balā.eñ kab se pīchhā kar rahī haiñ
inhen aage nikal jaane do 'haaris'
balaen kab se pichha kar rahi hain
apnā sach us ko sunāne ke liye
ham ko qissoñ kā havāla chāhiye
apna sach us ko sunane ke liye
hum ko qisson ka hawala chahiye
vaqt badlā soch badlī baat badlī
ham se bachche kah rahe haiñ ham na.e haiñ
waqt badla soch badli baat badli
hum se bachche kah rahe hain hum nae hain
sadā.eñ Dūbtī haiñ jab
ḳhamoshī muskurātī hai
sadaen Dubti hain jab
KHamoshi muskuraati hai