Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Payam Fatehpuri's Photo'

Payam Fatehpuri

1923 - 2000 | Fatehpur, India

Sher of Payam Fatehpuri

tārīḳh-e-kā.enāt-e-ibādat junūñ se hai

unvān-e-aql-o-hosh hai dīvāngī baat

tariKH-e-kaenat-e-ibaadat junun se hai

unwan-e-aql-o-hosh hai diwangi ki baat

nafas nafas pe yahāñ rahmatoñ bārish hai

hai bad-nasīb jise zindagī na raas aa.ī

nafas nafas pe yahan rahmaton ki barish hai

hai bad-nasib jise zindagi na ras aai

sukūn de na sakīñ rāhateñ zamāne

jo niiñd aa.ī tire ġham chhāñv meñ aa.ī

sukun de na sakin rahaten zamane ki

jo nind aai tere gham ki chhanw mein aai

malāmatoñ se junūñ meñ na kuchh kamī aa.ī

jarāhatoñ se baḌhī zaḳhm-e-dil ra.anā.ī

malamaton se junun mein na kuchh kami aai

jarahaton se baDhi zaKHm-e-dil ki ranai

phailā fazā meñ naġhma-e-zanjīr-e-marhabā

zindāñ meñ ghuT ke rah na sakī zindagī baat

phaila faza mein naghma-e-zanjir-e-marhaba

zindan mein ghuT ke rah na saki zindagi ki baat

ajiib shai hai tasavvur kār-farmā.ī

hazār mahfil-e-rañgīñ sharīk-e-tanhā.ī

ajib shai hai tasawwur ki kar-farmai

hazar mahfil-e-rangin sharik-e-tanhai

ḳhushī visāl ab hai na rañj-e-tanhā.ī

ye kis maqām pe mujh ko hayāt le aa.ī

KHushi visal ki ab hai na ranj-e-tanhai

ye kis maqam pe mujh ko hayat le aai

Recitation

Speak Now