Sher of Rasikh Azimabadi
jab tujhe ḳhud aap se begānagī ho jā.egī
āshnā tab tujh se vo der-āshnā ho jā.egā
jab tujhe KHud aap se beganagi ho jaegi
aashna tab tujh se wo der-ashna ho jaega
bāzār jahāñ meñ koī ḳhvāhāñ nahīñ terā
le jaa.eñ kahāñ ab tujhe ai jins-e-vafā ham
bazar jahan mein koi KHwahan nahin tera
le jaen kahan ab tujhe ai jins-e-wafa hum
shāgird haiñ ham 'mīr' se ustād ke 'rāsiḳh'
ustādoñ kā ustād hai ustād hamārā
shagird hain hum 'mir' se ustad ke 'rasiKH'
ustadon ka ustad hai ustad hamara