Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saadat Hasan Manto's Photo'

Saadat Hasan Manto

1912 - 1955 | Lahore, Pakistan

World-renowned Urdu fiction writers. Known for masterpieces like Thanda Gosht, Khol Do, Toba Tek Singh etc.

Quotes of Saadat Hasan Manto

38.1K
Favorite

SORT BY

Roti Khaane Ke Mutalliq Eik Mota Sa Usool Hai Ki Har Luqma Achchi Tarah Chabaa Kar Khaao. Lu'aab Dahan Mein Use Khoob Hal Hone Do Taaki Me'de Par Ziyaada Bojh Na Pade Aur Iski Ghizaaiyat Barqaraar Rahe. Padhne Ke Liye Bhi Yahi Mota Usool Hai Ki Har Lafz Ko, Har Khayaal Ko Achchi Tarah Zahan Mein Chabaao. Us Luaab Ko Jo Padhne Se Tumhaare Dimaagh Mein Paida Hoga, Achchi Tarah Hal Karo Taaki Jo Kuchh Tumne Padhaa Hai, Achchi Tarah Hazam Ho Sake. Agar Tumne Aisa Na Kiya To Uske Nataaij Bure Honge Jiske Liye Tum Likhne Waale Ko Zimmedaar Na Thahra Sakoge. Woh Roti Jo Achchi Tarah Chabaa Kar Nahi Khaai Gayi Tumhaari Bad-hazmi Ki Zimmedaar Kaise Ho Sakti Hai?

Koi Afsaana Ya Adab-para Fohsh Nahi Ho Sakta. Jab Tak Likhne Waale Ka Maqsad Adab-nigaari Hai. Adab Ba-haisiyat-e-adab Ke Kabhi Fohsh Nahi Hota.

Mere Afsaane Tandurust Aur Sehat-mand Logon Ke Liye Hain. Normal Insaanon Ke Liye, Jo Aurat Ke Seene Ko Aurat Ka Seena Hi Samajhte Hain Aur Isse Ziyaada Aage Nahi Badhte.

Zabaan Mein Bahut Kam Lafz Fohsh Hote Hain. Tareeq-e-istemaal Hi Eik Aisi Cheez Hai Jo Pakeeza Se Pakeeza Alfaaz Ko Bhi Fohsh Bana Deta Hai.

Sharaab, Afeem, Charas, Bhang Aur Tanbaaku Ka Aalam-geer Istemaal Isliye Nahi Hota Ki Ye Cheezein Farhat Ya Dil-bastagi Ka Saamaan Muhayya Karti Hain, Balki Inka Istemaal Sirf Isliye Kiya Jaata Hai Ki Zameer Ke Mutaalibaat Se Khud Ko Chhupa Liya Jaaye.

Dil Aisi Shay Nahi Jo Baanti Ja Sake.

Dil Aisi Shay Nahi Jo Baanti Ja Sake.

Duniya Mein Jitni Laantein Hain, Bhook Unki Maan Hai.

Aakhir Kab Tak Adeeb Eik Naakaara Aadmi Samjha Jaayega. Kab Tak Shaaer Ko Eik Gappein Haankne Waala Mutasawwar Kiya Jaayega, Kab Tak Hamaare Literature Par Chan Khud-gharaz Aur Hawas-parast Logon Ki Hukmuraani Rahegi. Kab Tak?

Istibdaad Ki Aandhiyaan Timtimaate Chiraaghon Ko Gul Kar Sakti Hain Magar Inqilaab Ke Sholon Par Unka Koi Bas Nahi Chalta.

Maujuda Nizaam Ke Tahat Jiski Baag-dor Sirf Mardon Ke Haath Mein Hai, Aurat Khwaah Woh Ismat-farosh Ho Ya Ba-ismat, Hamesha Dabi Rahi Hai. Mard Ko Maujooda Akhtiyaar Hoga Ki Woh Uske Mutalliq Jo Chaahe Raae Qayam Kare.

Har Haseen Cheez Insaan Ke Dil Mein Apni Waq'at Paida Kar Deti Hai. Khwaah Insaan Ghair-tarbiyat-yaafta Hi Kyun Na Ho?

Jis Tarah Ba-ismat Aurtein Vaishyaon Ki Taraf Hairat Aur Tajjub Se Dekhti Hain, Theek Usi Tarah Woh Bhi Unki Taraf Usi Nazar Se Dekhti Hain.

Hindustan Mein Jis Cheez Ko Art Kaha Jaata Hai, Abhi Tak Main Uske Mutalliq Faisla Hi Nahi Kar Sakaa Ki Woh Kya Hai?

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi... Main Use Kapde Pahnaane Ki Koshish Bhi Nahi Karta, Isliye Ki Yeh Mera Kaam Nahi, Darziyon Ka Hai. Log Mujhe Siyaah Qalam Kahte Hain, Main Takhta-e-siyaah Par Kaali Chaak Se Nahi Likhta, Safed Chaak Istemaal Karta Hoon Ki Takhta-e-siyaah Ki Siyaahi Aur Bhi Ziyaada Numaayaan Ho Jaaye. Yeh Mera Khaas Andaaz, Mera Khaas Tarz Hai Jise Fohsh-nigaari, Taraqqi-pasandi Aur Khuda Maloom Kya Kuch Kahaa Jaata Hai. Laanat Ho S'aadat Hasan Manto Par, Kambakht Ko Gaali Bhi Saleeqe Se Nahi Di Jaati.

Main Baghaawat Chahta Hun Har Us Fard Ke Khilaaf Baghaawat Chahta Hun Jo Humse Mehnat Karaata Hai Magar Uske Daam Adaa Nahi Karta.

Hamaare Afsaanvi Adab Mein Jin Aurton Ka Zikr Ka Kiya Gaya Hai, Unme Se Assi Feesdi Aisi Hain Jo Haqeeqat Se Koson Door Hain. Unme Aur Asl Aurton Wohi Farq Hai, Jo Texaali Rupay Aur Jaali Rupay Mein Hota Hai.

Pahle Mazhab Seenon Mein Hota Tha, Aaj-kal Topiyon Mein Hota Hai. Siyaasat Bhi Ab Topiyon Mein Chali Aayi Hai. Zindaabaad Topiyaan.

Eik Ba-ismat Aurat Ke Seene Mein Mohabbat Se Aari Dil Ho Sakta Hai Aur Iske Bar-aks Chakle Ki Eik Adna-tareen Vaishya Mohabbat Se Bharpoor Dil Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Har Aurat Vaishya Nahi Hoti Lekin Har Vaishya Aurat Hoti Hai, Is Baat Ko Hamesha Yaad Rakhna Chaahiye.

Mere Nazdeek Woh Baap Apni Aulaad Ko Jinsi Bedari Ka Mauqa Dete Hain Jo Din Ko Band Kamron Mein Kaee-Kaee Ghante Apni Biwi Se Sar Dabwaane Ka Bahaana Laga Kar Hum-bistri Karte Hain.

Hindi Ke Haq Mein Hindu Kyun Apna Waqt Zaaya Karte Hain. Musalmaan, Urdu Ke Tahaffuz Ke Liye Kyun Be-qaraar Hain...? Zabaan Banaai Nahi Jaati, Khud Banti Hai Aur Na Insaani Koshishein Kisi Zabaan Ko Fanaa Kar Sakti Hain.

Agar Main Kisi Aurat Ke Seene Ka Zikr Karna Chaahunga To Use Aurat Ka Seena Hi Kahunga. Aurat Ki Chhatiyon Ko Aap Mungfali, Mez Ya Ustura Nahi Kah Sakte... Yun To Baaz Hazraat Ke Nazdeek Aurat Ka Wujood Hi Fohsh Hai, Magar Uska Kya Ilaaj Ho Sakta Hai?

Yaad Rakhiye Watan Ki Khidmat Shikam-ser Log Kabhi Nahi Kar Sakenge. Wazni Me'ade Ke Saath Jo Shakhsh Watan Ki Khidmat Ke Liye Aage Badhe, Use Laat Maar Kar Baahar Nikaal Dijiye.

Zamaane Ke Jis Daur Se Hum Is Waqt Guzar Rahe Hain Agar Aap Isse Naawaaqif Hain To Mere Afsaane Paḍhiye. Agar Aap In Afsaanon Ko Bardaasht Nahi Kar Sakte To Iska Matlab Hai Ki Ye Zamaana Naaqaabil-e-bardaasht Hai... Mujh Mein Jo Buraaiyaan Hain, Wo Is Ahd Ki Buraaiyaan Hain... Mere Tahreer Mein Koi Naqs Nahi. Jis Naqs Ko Mere Naam Se Mansoob Kiya Jaata Hai, Dar-asl Maujooda Nizaam Ka Naqs Hai.

Ruhaaniyat Yaqeenan Koi Cheez Hai, Aaj Ke Science Ke Zamaane Mein Jismein Atom Bum Tayyaar Kiya Ja Sakta Hai Aur Jaraaseem Phailaaye Ja Sakte Hain, Ye Cheez Baaz Ashaab Ke Nazdeek Muhmal Ho Sakti Hai Lekin Woh Log Jo Namaaz Aur Roze, Aarti Aur Keertan Se Roohaani Tahaarat Haasil Karte Hain Hum Unhein Paagal Nahi Kah Sakte. Aur Main Samajhta Hun Ki Bad-kirdaaron, Qaatilon Aur Saffaakon Ki Najaat Ka Raasta Sirf Roohaani Taaleem Hai, Mullaaee Tareeq Par Nahi, Taraqqi-pasand Usoolon Par.

Jis Tarah Jismaani Sehat Barqaraar Rakhne Ke Liye Kasrat Ki Zaroorat Hai, Theek Usi Tarah Zehn Ki Sehat Barqaraar Rakhne Ke Liye Zehni Varzish Ki Zaroorat Hai.

Kisi Bhi Aurat Se Ishq Kiya Jaaye To Tagda Eik Hi Qism Ka Banta Hai ‘Husn, Ishq Aur Maut’ Ya ‘Aashiq, Maashooq Aur Vasl’

Mehnat-kash Mazdooron Ki Sahi Nafsiyaat Kuch Unka Apna Paseena Hi Ba-tareeq-e-ahsan Bayaan Kar Sakta Hai. Usko Daulat Ke Taur Par Istemaal Kar Ke Uske Paseene Ki Raushnaai Mein Qalam Dubo-dubo Kar Grandeel Lafzon Mein Manshoor Likhne Waale, Ho Sakta Hai Bade Mukhlis Aadmi Hon, Magar Maaf Kijiye Main Ab Bhi Unhein Bahrupiya Samajhta Hun.

Public Aisi Filmein Chaahti Hain Jinka Talluq Baraah-e-raast Unke Dil Se Ho. Jismaani Hissiyaat Se Mutalliq Cheezein Ziyaada Derpaa Nahi Hotin Magar Jin Cheezon Ka Talluq Rooh Se Hota Hai, Der Tak Qaayam Rahti Hain.

Main Sochta Hun Agar Bandar Se Insaan Ban Kar Hum Itni Qayaamatein Dhaa Sakte Hain, Is Qadar Fitne Barpa Kar Sakte Hain To Waapis Bandar Ban Kar Hum Khuda Maloom Kya Kuchh Kar Sakte Hain.

Kahaa Jaata Hai Ki Adeebon Ke Aasaab Par Aurat Sawaar Hai. Sach To Yeh Hai Ki Huboot-e-aadam Se Lekar Ab Tak Har Mard Ke Aasaab Par Aurat Sawaar Rahi Hai, Aur Kyun Na Rahe. Mard Ke Aasaab Par Kya Haathi Ghodon Ko Sawaar Hona Chaahiye. Jab Kabootar, Kabootariyon Ko Dekhkar Gatakte Hain To Mard, Aurton Ko Dekh Kar Eik Ghazal Ya Afsaana Kyun Na Likhein, Aurtein Kabootariyon Se Kaheen Ziyaada Dilchasp, Khoobsurat Aur Fikr-angez Hain. Kya Main Jhoot Kahta Hoon?

Mujhe Naam-nihaad Communiston Se Badi Chid Hai. Woh Log Mujhe Bahut Khalte Hain Jo Narm-narm Sofon Par Baith Kar Daraanti Aur Hathaude Ki Zarbon Ki Baatein Karte Hain.

Haseen Cheez Eik Daayemi Musarrat Hai. Art Jahaan Bhi Mile Humein Uski Qadr Karni Chahiye.

Society Ke Usoolon Ke Mutaabiq Mard Mard Rahta Hai, Khwaah Uski Kitaab-e-zindagi Ke Har Waraq Par Gunaahon Ki Siyaahi Lipi ho. Magar Woh Aurat Jo Sirf Eik Martaba Jawaani Ke Be-panaah Jazbe Ke Zer-e-asar Ya Kisi Laalach Mein Aakar Ya Kisi Mard Ki Zabardasti Ka Shikaar Ho Kar Eik Lamhe Ke Liye Apne Raaste Se Hat Jaaye, Aurat Nahi Rahti. Use Haqaarat-o-nafrat Ki Nigaahon Se Dekha Jaata Hai. Society Us Par Woh Tamaam Darwaaze Band Kar Deti Hai Jo Eik Siyaah-pesha Mard Ke Liye Khule Rahte Hain.

Afsaana-nigaari Mera Pesha Hai, Main Iske Tamaam Aadaab Se Waqif Hun.

Aap Shahar Mein Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Dekhte Hain... Ye Khubsurat Aur Nafees Gadiyaan Kooda-karkat Uthane Ke Kaam Nahi Aa Saktin. Gandagi Aur Ghalaazat Utha Kar Bahar Phenkne Ke Liye Aur Gadiyaan Maujood Hain Jinhein Aap Kam Dekhte Hain Aur Agar Dekhte Hain To Fauran Apni Naak Par Rumaal Rakh Lete Hain... In Gadiyon Ka Wujood Zaroori Hai Aur Un Aurton Ka Wujood Bhi Zaroori Hai Jo Ghalaazat Uthaati Hain. Agar Ye Aurtein Na Hotin To Hamaare Sab Gali-kooche Mardon Ki Ghaleez Harakaat Se Bhare Hote.

Vaishya Ka Wajood Khud Eik Janaaza HAi Jo Samaaj Khud Apne Kandhon Par Uthaae Hue Hai. Woh Use Jab Tak Kaheen Dafn Nahi Karega, Uske Mutalliq Baatein Hoti Rahengi.

Kaun Nahi Jaanta Ki Randi Ke Koṭhe Par Maan-baap Apni Aulaad Se Pesha Karaate Hain Aur Maqbaron Aur Takiyon Mein Insaan Apne Khuda Se.

Jo Darwaaze M'aashi Kashmakash Ne Eik Dafa Khol Diye Hon, Bahut Mushkil Se Band Kiye Ja Sakte Hain.

Agar Vaishya Ka Zikr Fosh Hai To Uska Wajood Bhi Fohsh Hai. Agar Uska Zikr Mamnoo Hai To Uska Pesha Bhi Mamnoo Hona Chahiye. Uska Zikr Khud Ba-khud Mit Jaayega.

Mera Khayaal Hai Ki Koi Bhi Cheez Fohsh Nahi, Lekin Ghar Ki Kursi Aur Haandi Bhi Fohsh Ho Sakti Hai Agar Unko Fohsh Tareeqe Par Pesh Kiyaa Jaaye, Cheezein Fohsh Banaayi Jaati Hain, Kisi Khaas Gharaz Ke Ma-tahat. Aurat Aur Mard Ka Rishta Fohsh Nahi, Uska Zikr Bhi Fohsh Nahi, Lekin Jab Is Rishte Ko Chauraasi Aasanon Ya Zordaar Khufiyaa Tasveeron Mein Tabdeel Kar Diya Jaaye To Main Is Fe'al Ko Sirf Fohsh Hi Nahi Balki Nihaayat Ghinaawna, Makrooh Aur Ghair Sehat-mand Kahunga.

Main Afsaana Isliye Likhta Hun Ki Mujhe Afsaana-nigaari Ki Sharaab Ki Tarah Lat Pad Gayi Hai. Main Afsaana Na Likhun To Mujhe Aisa Mahsoos Hota Hai Ki Main Kapde Nahi Pahne, Ya Maine Ghusl Nahi Kiya, Ya Maine Sharaab Nahi Pee.

Mazhab Khud Eik Bahut Bada Mas'ala Hai, Agar Isme Lapet Kar Kisi Aur Mas'ale Ko Dekha Jaye To Hamein Bahut Hu Maghz-dardi Karni Paregi.

Main Tahzeeb-o-tamaddun Aur Society Ki Choli Kya Utaarunga Jo Hai Hi Nangi.

Vaishyaon Ke Ishq Mein Eik Khaas Baat Qaabil-e-zikr Hai. Unka Ishq Unke Roz-marra Ke Maamool Par Bahut Kam Asar Daalta Hai.

Woh Log Jo Mujhe Ya Mere Mizaaj Ke Aadmiyon Ko Haqaarat Ki Nazron Se Dekhte Hain Unke Mutalliq Mujhe Afsos Se Kahna Padega Ki Woh Sheriyat Se Yaksar Khaali Hain. Draame Ko Samajhne Aur Isse Haz Uthaane Ki Salaahiyat Unmein Zarra Bhar Nahi.

Hindustan Mein Abhi Tak Artist Ke Sahi Ma'ani Pesh Nahi Kiye Gaye. Art Ko Khuda Maloom Kya Cheez Samjha Jata Hai. Yahaan Art Eik Rang Se Bhara Hua Bartan Hai Jismein Har Shakhs Apne Kapde Bhigo Leta Hai, Lekin Art Yeh Nahi Hai Aur Na Woh Tamaam Log Artist Hain Jo Apne Maathon Par Label Lagaaye Phirte Hain. Hindustan Mein Jis Cheez Ko Art Kaha Jaata Hai, Abhi Tak Main Uske Mutalliq Faisla Hi Nahi Kar Sakaa Ki woh Kya Hai?

Vaishya Apne Taareek Tijaarat Ke Baawajood Raushan Rooh Ki Maalik Ho Sakti Hai.

Art Khwaah Woh Tasveer Ki Soorat Mein Ho Ya Mujasseme Ki Shakl Mein. Society Ke Liye Qataee Taur Par Eik Peshkash Hai.

Vaishya Paida Nahi Hoti, Banaai Jaati Hai, Ya Khud Banti Hai.

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now