Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sajjad Baqar Rizvi's Photo'

Sajjad Baqar Rizvi

1928 - 1992 | Karachi, Pakistan

Sajjad Baqar Rizvi

Ghazal 57

Nazm 6

Sher-o-Shayari 18

TuuT paḌtī thiiñ ghaTā.eñ jin āñkheñ dekh kar

vo bharī barsāt meñ tarse haiñ paanī ke liye

TuT paDti thin ghaTaen jin ki aankhen dekh kar

wo bhari barsat mein tarse hain pani ke liye

pahle chādar havas meñ paañv phailā.e bahut

ab ye dukh hai paañv kyuuñ chādar se bāhar aa gayā

pahle chadar ki hawas mein panw phailae bahut

ab ye dukh hai panw kyun chadar se bahar aa gaya

shahr ke ābād sannāToñ vahshat dekh kar

dil ko jaane kyā huā maiñ shaam se ghar aa gayā

shahr ke aabaad sannaTon ki wahshat dekh kar

dil ko jaane kya hua main sham se ghar aa gaya

hamāre dam se hai raushan dayār-e-fikr-o-suḳhan

hamāre baad ye galiyāñ dhuāñ dhuāñ hoñgī

hamare dam se hai raushan dayar-e-fikr-o-suKHan

hamare baad ye galiyan dhuan dhuan hongi

man dhan sab qurbān kiyā ab sar saudā baaqī hai

ham to bike the aune-paune pyaar qīmat kam na huī

man dhan sab qurban kiya ab sar ka sauda baqi hai

hum to bike the aune-paune pyar ki qimat kam na hui

Article 1

 

BOOKS 6

 

RELATED Authors

More Authors From "Karachi"

Recitation

Speak Now