Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saleem Siddiqi's Photo'

Saleem Siddiqi

1962 | Delhi, India

Sher of Saleem Siddiqi

dushman se aise kaun bhalā jiit pā.egā

jo dostī ke bhes meñ chhup kar daġhā kare

dushman se aise kaun bhala jit paega

jo dosti ke bhes mein chhup kar dagha kare

na to ranj-o-ġham se rabt hai na āshnā-e-ḳhushī huuñ maiñ

mirī zindagī bhī ajiib hai ise manziloñ patā nahīñ

na to ranj-o-gham se hi rabt hai na hi aashna-e-KHushi hun main

meri zindagi bhi ajib hai ise manzilon ka pata nahin

ek din to dil ko bhī tarjīh de kar dekh luuñ

aql se kah do ki mujh ko aaj tanhā chhoḌ de

ek din to dil ko bhi tarjih de kar dekh lun

aql se kah do ki mujh ko aaj tanha chhoD de

mulk galiyāñ lahū piine aadī ho na jaa.eñ

ye ta.assub zahr zehnoñ meñ bharnā chhoḌ de

mulk ki galiyan lahu pine ki aadi ho na jaen

ye tassub zahr ka zehnon mein bharna chhoD de

galiyoñ galiyoñ shahroñ shahroñ kis ne aag lagā.ī hai

buġhz-o-nafrat duniyā ko kis ne ye māhaul diyā

galiyon galiyon shahron shahron kis ne aag lagai hai

bughz-o-nafrat ka duniya ko kis ne ye mahaul diya

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now