Sher of Salik Lakhnavi
sāhil pe qaid lākhoñ safīnoñ ke vāste
merī shikasta naav hai tūfāñ liye hue
sahil pe qaid lakhon safinon ke waste
meri shikasta naw hai tufan liye hue
manzil na milī kashmakash-e-ahl-e-nazar meñ
is bhiiḌ se maiñ apnī nazar le ke chalā huuñ
manzil na mili kashmakash-e-ahl-e-nazar mein
is bhiD se main apni nazar le ke chala hun
jo terī bazm se uTThā vo is tarah uTThā
kisī kī aañkh meñ aañsū kisī ke dāman meñ
jo teri bazm se uTTha wo is tarah uTTha
kisi ki aankh mein aansu kisi ke daman mein
apnī ḳhuddārī salāmat dil kā aalam kuchh sahī
jis jagah se uTh chuke haiñ us jagah phir jaa.eñ kyā
apni KHuddari salamat dil ka aalam kuchh sahi
jis jagah se uTh chuke hain us jagah phir jaen kya
ye bhī ik raat kaT hī jā.egī
sub.h-e-fardā kī muntazir hai nigāh
ye bhi ek raat kaT hi jaegi
subh-e-farda ki muntazir hai nigah
kahī kisī se na rūdād-e-zindagī maiñ ne
guzār dene kī shai thī guzār dī maiñ ne
kahi kisi se na rudad-e-zindagi main ne
guzar dene ki shai thi guzar di main ne
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
chāhā thā Thokaroñ meñ guzar jaa.e zindagī
logoñ ne sañg-e-rāh samajh kar haTā diyā
chaha tha Thokaron mein guzar jae zindagi
logon ne sang-e-rah samajh kar haTa diya
khīñch bhī lījiye achchhā to hai tasvīr-e-junūñ
aap kī bazm meñ kyā jāniye kal hoñ ki na hoñ
khinch bhi lijiye achchha to hai taswir-e-junun
aap ki bazm mein kya jaaniye kal hon ki na hon
nāḳhudā Dūbne vāloñ kī taraf muḌ ke na dekh
na kareñge na kināroñ kī tamannā kī hai
naKHuda Dubne walon ki taraf muD ke na dekh
na karenge na kinaron ki tamanna ki hai
yūñhī insānoñ ke shahroñ meñ milā apnā vajūd
kisī vīrāne meñ ik phuul khilā ho jaise
yunhi insanon ke shahron mein mila apna wajud
kisi virane mein ek phul khila ho jaise
sitāre kī tarah siine meñ dil Duubā kiyā lekin
shab-e-ġham ke añdhere se nahīñ māñgī sahar ham ne
sitare ki tarah sine mein dil Duba kiya lekin
shab-e-gham ke andhere se nahin mangi sahar hum ne
nigāh-e-mehr kahāñ kī vo barhamī bhī ga.ī
maiñ dostī ko jo royā to dushmanī bhī ga.ī
nigah-e-mehr kahan ki wo barhami bhi gai
main dosti ko jo roya to dushmani bhi gai
mahv yuuñ ho ga.e alfāz-e-duā vaqt-e-duā
haath se zarf-e-talab chhūT gayā ho jaise
mahw yun ho gae alfaz-e-dua waqt-e-dua
hath se zarf-e-talab chhuT gaya ho jaise
dil ne siine meñ kuchh qarār liyā
jab tujhe ḳhuub sā pukār liyā
dil ne sine mein kuchh qarar liya
jab tujhe KHub sa pukar liya
māl-o-zar ahl-e-duval sāmne yuuñ ginte haiñ
ham faqīroñ ne na kuchh sarf kiyā ho jaise
mal-o-zar ahl-e-duwal samne yun ginte hain
hum faqiron ne na kuchh sarf kiya ho jaise
mai-ḳhāna-e-hastī meñ saaqī ham donoñ hī mujrim haiñ shāyad
ḳhum tū ne bachā ke rakkhe the paimāne maiñ ne toḌe haiñ
mai-KHana-e-hasti mein saqi hum donon hi mujrim hain shayad
KHum tu ne bacha ke rakkhe the paimane main ne toDe hain
bahār-e-gulistāñ ham ko na pahchāne ta.ajjub hai
guloñ ke ruḳh pe chhiḌkā hai bahut ḳhūn-e-jigar ham ne
bahaar-e-gulistan hum ko na pahchane tajjub hai
gulon ke ruKH pe chhiDka hai bahut KHun-e-jigar hum ne
nazar se dekh to saaqī ik ā.īna banāyā hai
shikasta shīsha-o-sāġhar ke TukḌe joḌ kar ham ne
nazar se dekh to saqi ek aaina banaya hai
shikasta shisha-o-saghar ke TukDe joD kar hum ne
aaj bhī hai vahī maqām aaj bhī lab pe un kā naam
manzil-e-be-shumār-gām apne safar ko kyā karūñ
aaj bhi hai wahi maqam aaj bhi lab pe un ka nam
manzil-e-be-shumar-gam apne safar ko kya karun
miT chuke jo bhī the tauba-shikanī ke asbāb
ab na mai-ḳhāna na paimāna na shīsha na subū
miT chuke jo bhi the tauba-shikani ke asbab
ab na mai-KHana na paimana na shisha na subu
dhuāñ detā hai dāmān-e-mohabbat
in āñkhoñ se koī aañsū girā hai
dhuan deta hai daman-e-mohabbat
in aankhon se koi aansu gira hai
zindāñ meñ āchānak hai ye kyā shor-e-salāsil
ye 'sālik'-e-bebāk kā mātam to nahīñ hai
zindan mein aachanak hai ye kya shor-e-salasil
ye 'salik'-e-bebak ka matam to nahin hai
nigāh-e-shauq se lākhoñ banā Daale haiñ dar ham ne
qafas meñ bhī nahīñ maanī shikaste-bāl-o-par ham ne
nigah-e-shauq se lakhon bana Dale hain dar hum ne
qafas mein bhi nahin mani shikaste-baal-o-par hum ne