Sher of Sardar Genda Singh Mashriqi
kholā darvāza samajh kar mujh ko ġhair
khā ga.e dhokā mirī āvāz se
khola darwaza samajh kar mujh ko ghair
kha gae dhoka meri aawaz se
phaaḌ kar ḳhat us ne qāsid se kahā
koī paiġhām-e-zabānī aur hai
phaD kar KHat us ne qasid se kaha
koi paigham-e-zabani aur hai
āshiq-mizāj rahte haiñ har vaqt taak meñ
siina ko is tarah se ubhārā na kījiye
aashiq-mizaj rahte hain har waqt tak mein
sina ko is tarah se ubhaara na kijiye
shaiḳh chal tū sharāb-ḳhāne meñ
maiñ tujhe aadmī banā dūñgā
shaiKH chal tu sharab-KHane mein
main tujhe aadmi bana dunga
piite haiñ jo sharāb masjid meñ
aise logoñ ko pārsā kahiye
pite hain jo sharab masjid mein
aise logon ko parsa kahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tum jaao raqīboñ kā karo koī mudāvā
ham aap bhugat leñge ki jo ham pe banī hai
tum jao raqibon ka karo koi mudawa
hum aap bhugat lenge ki jo hum pe bani hai
jo muñh se kahte haiñ kuchh aur karte haiñ kuchh aur
vahī zamāna meñ kuchh iḳhtiyār rakhte haiñ
jo munh se kahte hain kuchh aur karte hain kuchh aur
wahi zamana mein kuchh iKHtiyar rakhte hain
Darā.egī hameñ kyā hijr kī añdherī raat
ki sham.a baiThe haiñ pahle hī ham bujhā.e hue
Daraegi hamein kya hijr ki andheri raat
ki shama baiThe hain pahle hi hum bujhae hue
go ham sharāb piite hamesha haiñ de ke naqd
lekin mazā kuchh aur hī paayā udhār meñ
go hum sharab pite hamesha hain de ke naqd
lekin maza kuchh aur hi paya udhaar mein
tirā aanā mire ghar ho gayā ghar ġhair ke jaanā
mujhe ma.alūm thī is ḳhvāb kī tābīr pahle se
tera aana mere ghar ho gaya ghar ghair ke jaana
mujhe malum thi is KHwab ki tabir pahle se
bhuul kar le gayā sū-e-manzil
aise rahzan ko rahnumā kahiye
bhul kar le gaya su-e-manzil
aise rahzan ko rahnuma kahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
na chalo mujh se tum raqībo chaal
uñgliyoñ par tumheñ nachā dūñgā
na chalo mujh se tum raqibo chaal
ungliyon par tumhein nacha dunga
zāhid mirī samajh meñ to donoñ gunāh haiñ
tū but-shikan huā jo maiñ tauba-shikan huā
zahid meri samajh mein to donon gunah hain
tu but-shikan hua jo main tauba-shikan hua
chāhne vāloñ ko chāhā chāhiye
jo na chāhe phir use kyā chāhiye
chahne walon ko chaha chahiye
jo na chahe phir use kya chahiye
jab bosa le ke mudda.ā maiñ ne bayāñ kiyā
bole ziyāda paañv pasārā na kījiye
jab bosa le ke muddaa main ne bayan kiya
bole ziyaada panw pasara na kijiye
ek tīr-e-nazar idhar maaro
dil tarastā hai jaañ tarastī hai
ek tir-e-nazar idhar maro
dil tarasta hai jaan tarasti hai
-
Tag : Teer
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kaalī ghaTā kab aa.egī fasl-e-bahār meñ
āñkheñ safed ho ga.iiñ is intizār meñ
kali ghaTa kab aaegi fasl-e-bahaar mein
aankhen safed ho gain is intizar mein
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ek muddat meñ baḌhāyā tū ne rabt
ab ghaTānā thoḌā thoḌā chāhiye
ek muddat mein baDhaya tu ne rabt
ab ghaTana thoDa thoDa chahiye
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
zāhid namāz bhūlā idhar dekh kar tujhe
barham butoñ se apne udhar barhaman huā
zahid namaz bhula idhar dekh kar tujhe
barham buton se apne udhar barhaman hua
aage mere na tīkhī maar ai shaiḳh
raat kā mājrā sunā dūñgā
aage mere na tikhi mar ai shaiKH
raat ka majra suna dunga
laTakte dekhā siine par jo tere tār-e-gesū ko
use dīvāne vahshat meñ tirā band-e-qabā samjhe
laTakte dekha sine par jo tere tar-e-gesu ko
use diwane wahshat mein tera band-e-qaba samjhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
garebāñ ham ne dikhlāyā unhoñ ne zulf dikhlā.ī
hamārā samjhe vo matlab ham un kā mudda.ā samjhe
gareban hum ne dikhlaya unhon ne zulf dikhlai
hamara samjhe wo matlab hum un ka muddaa samjhe
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
dhar ke haath apnā jigar par maiñ vahīñ baiTh gayā
jab uThe haath vo kal rakh ke kamar par apnā
dhar ke hath apna jigar par main wahin baiTh gaya
jab uThe hath wo kal rakh ke kamar par apna
haiñ vahī insāñ uThāte rañj jo hote hī kaj
TeḌhī ho kar Dūbtī hai naav akasr aab meñ
hain wahi insan uThate ranj jo hote hi kaj
TeDhi ho kar Dubti hai naw akasr aab mein
kis se duuñ tashbīh maiñ zulf-e-musalsal ko tirī
fikr hai kotāh aur mazmūñ bahut hai duur kā
kis se dun tashbih main zulf-e-musalsal ko teri
fikr hai kotah aur mazmun bahut hai dur ka
ai shaiḳh apnā jubba-e-aqdas sambhāliye
mast aa rahe haiñ chaak garebāñ kiye hue
ai shaiKH apna jubba-e-aqdas sambhaaliye
mast aa rahe hain chaak gareban kiye hue
maza dekhā kisī ko ai parī-rū muñh lagāne kā
ab ā.īna bhī kahtā hai ki maiñ madd-e-muqābil huuñ
maza dekha kisi ko ai pari-ru munh lagane ka
ab aaina bhi kahta hai ki main madd-e-muqabil hun
ḳhayāl-e-nāf meñ zulfoñ ne mushkīñ bāñdh diiñ merī
shanāvar kis tarah girdāb se be-dast-o-pā nikle
KHayal-e-naf mein zulfon ne mushkin bandh din meri
shanawar kis tarah girdab se be-dast-o-pa nikle
ai shaiḳh ye jo māneñ ka.aba ḳhudā kā ghar hai
but-ḳhāna meñ batā tū phir kaun jalva-gar hai
ai shaiKH ye jo manen kaba KHuda ka ghar hai
but-KHana mein bata tu phir kaun jalwa-gar hai
ka.aba ko agar māneñ ki allāh kā ghar hai
but-ḳhāna meñ bhī shaiḳh nahīñ koī makīñ aur
kaba ko agar manen ki allah ka ghar hai
but-KHana mein bhi shaiKH nahin koi makin aur