Sher of Sayyed Riyaz Raheem
kitnā dushvār lag rahā thā safar
dekho ham aa ga.e vahāñ se yahāñ
kitna dushwar lag raha tha safar
dekho hum aa gae wahan se yahan
bahut ghāTe meñ hai urdu zabāñ kyoñ
mohabbat kī zabāñ hote hue bhī
bahut ghaTe mein hai urdu zaban kyon
mohabbat ki zaban hote hue bhi
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
tere kahne se chup nahīñ huuñ maiñ
jāntā huuñ ki bolnā kab hai
tere kahne se chup nahin hun main
jaanta hun ki bolna kab hai
hoñT apne haiñ daañt bhī apne
kyā shikāyat kareñ kisī se ham
honT apne hain dant bhi apne
kya shikayat karen kisi se hum
shor meñ nafrat ke merī baat zaa.e.a ho ga.ī
merā kahnā aur thā un kā samajhnā aur thā
shor mein nafrat ke meri baat zaea ho gai
mera kahna aur tha un ka samajhna aur tha
nazar rakhte haiñ us kī har adā par
ba-zāhir be-ḳhabar hote hue bhī
nazar rakhte hain us ki har ada par
ba-zahir be-KHabar hote hue bhi
ek tum ho ki tumheñ sochnā aatā hī nahīñ
ek ham haiñ ki bahut soch ke nuqsān meñ haiñ
ek tum ho ki tumhein sochna aata hi nahin
ek hum hain ki bahut soch ke nuqsan mein hain
ab tire shahr meñ rahnā koī āsān kahāñ
sab mujhe tere havāle hī se pahchānte haiñ
ab tere shahr mein rahna koi aasan kahan
sab mujhe tere hawale hi se pahchante hain
hādse se hādse tak zindagī kā hai safar
beach meñ ḳhushiyāñ haiñ kuchh vo bhī ġhamoñ ke saath haiñ
hadse se hadse tak zindagi ka hai safar
beach mein KHushiyan hain kuchh wo bhi ghamon ke sath hain
āsmāñ kah rahā hai apnī baat
ai zamīñ terā tajraba kyā hai
aasman kah raha hai apni baat
ai zamin tera tajraba kya hai
ajiib ḳhauf kā aalam hai apne chāroñ taraf
safar meñ lagtā hai ye āḳhirī safar to nahīñ
ajib KHauf ka aalam hai apne chaaron taraf
safar mein lagta hai ye aaKHiri safar to nahin
ab to sannāTe bhī achchhe nahīñ lagte ham ko
shor sunte the kabhī shor machāte the kabhī
ab to sannaTe bhi achchhe nahin lagte hum ko
shor sunte the kabhi shor machate the kabhi
ab aur kyā kahūñ maiñ mohabbat ke baab meñ
maiñ un ke saath huuñ jo mohabbat ke saath haiñ
ab aur kya kahun main mohabbat ke bab mein
main un ke sath hun jo mohabbat ke sath hain
kamī jo aane lagī hai hamārī vahshat meñ
hamāre haath se sahrā nikal bhī saktā hai
kami jo aane lagi hai hamari wahshat mein
hamare hath se sahra nikal bhi sakta hai
mire hī ghar meñ rahnā chāhtī hai
mohabbat dar-ba-dar hote hue bhī
mere hi ghar mein rahna chahti hai
mohabbat dar-ba-dar hote hue bhi
bahut kuchh kaam ham sab kar chuke haiñ
diloñ meñ ghar banānā rah gayā hai
bahut kuchh kaam hum sab kar chuke hain
dilon mein ghar banana rah gaya hai
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
shāyad jaḌoñ ke zahr ne shāḳhoñ ko chhū liyā
uḌtā huā shajar se parinda dikhā.ī de
shayad jaDon ke zahr ne shaKHon ko chhu liya
uDta hua shajar se parinda dikhai de
har sub.h nikalte haiñ yahī soch ke ghar se
bikhrī huī duniyā ko sameTeñge kisī din
har subh nikalte hain yahi soch ke ghar se
bikhri hui duniya ko sameTenge kisi din
idhar se maiñ bhī jaanā chāhtā huuñ
udhar se bhī ishāra ho gayā hai
idhar se main bhi jaana chahta hun
udhar se bhi ishaara ho gaya hai
hamāre 'ahd meñ kyoñ jahl kā hai rutba buland
shikast khaa.ī huī āgahī savāl uThā
hamare 'ahd mein kyon jahl ka hai rutba buland
shikast khai hui aagahi sawal uTha
bahut ghāTe meñ hai urdu zabāñ kyoñ
mohabbat kī zabāñ hote hue bhī
bahut ghaTe mein hai urdu zaban kyon
mohabbat ki zaban hote hue bhi
masjid mandir ke jhagḌe to hote miTte rahte haiñ
dafn haiñ jis meñ dil ke rishte us malbe kī baat kareñ
masjid mandir ke jhagDe to hote miTte rahte hain
dafn hain jis mein dil ke rishte us malbe ki baat karen
bhañvar kī samt baḌhtī jā rahī hai
ye kashtī bādbāñ hote hue bhī
bhanwar ki samt baDhti ja rahi hai
ye kashti baadban hote hue bhi
jo mire dost haiñ dushman bhī vahī haiñ mere
kis salīqe se nibhāte haiñ vo donoñ rishte
jo mere dost hain dushman bhi wahi hain mere
kis saliqe se nibhate hain wo donon rishte
'ishq meñ kāmyāb honā bhī
ik hunar hai koī mazāq nahīñ
'ishq mein kaamyab hona bhi
ek hunar hai koi mazaq nahin
sach kī raah pe chalte chalte haar ga.e har baazī ham
jin logoñ ne duniyā jiitī vo kab apne jaise the
sach ki rah pe chalte chalte haar gae har bazi hum
jin logon ne duniya jiti wo kab apne jaise the
vaqt kaisā ye aa gayā hai ab
vo bhī mashkūk haiñ jo achchhe haiñ
waqt kaisa ye aa gaya hai ab
wo bhi mashkuk hain jo achchhe hain
sab dostoñ se mujh ko ziyāda 'azīz hai
aisā bhī ek shaḳhs mire dushmanoñ meñ hai
sab doston se mujh ko ziyaada 'aziz hai
aisa bhi ek shaKHs mere dushmanon mein hai
sunā to ye hai ki aisā kabhī nahīñ hotā
huā to ye hai ki ye baar baar hotā hai
suna to ye hai ki aisa kabhi nahin hota
hua to ye hai ki ye bar bar hota hai