Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Sheri Bhopali's Photo'

Sheri Bhopali

1902 - 1991 | Bhopal, India

Sher of Sheri Bhopali

qat.a hotī rahī haiñ zindagī manzileñ

har nafs apnī jagah chaltī huī talvār hai

qata hoti ja rahi hain zindagi ki manzilen

har nafs apni jagah chalti hui talwar hai

mohabbat ma.anī o alfāz meñ laa.ī nahīñ jaatī

ye vo nāzuk haqīqat hai jo samjhā.ī nahīñ jaatī

mohabbat mani o alfaz mein lai nahin jati

ye wo nazuk haqiqat hai jo samjhai nahin jati

tamannā hai yahī dil vahīñ chaliye vahīñ chaliye

vo mahfil aah jis mahfil meñ duniyā luT ga.ī apnī

tamanna hai yahi dil ki wahin chaliye wahin chaliye

wo mahfil aah jis mahfil mein duniya luT gai apni

abhī to dil meñ halkī ḳhalish mahsūs hotī hai

bahut mumkin hai kal is mohabbat naam ho jaa.e

abhi to dil mein halki si KHalish mahsus hoti hai

bahut mumkin hai kal is ka mohabbat nam ho jae

ye baazī mohabbat baazī hai nādāñ

ise jītnā hai to haare chalā

ye bazi mohabbat ki bazi hai nadan

ise jitna hai to haare chala ja

sunñe meñ aa rahe haiñ masarrat ke vāqi.āt

jamhūriyat husn numāyāñ hai āj-kal

sunne mein aa rahe hain masarrat ke waqiat

jamhuriyat ka husn numayan hai aaj-kal

barābar ḳhafā hoñ barābar manā.eñ

na tum baaz aao na ham baaz aa.eñ

barabar KHafa hon barabar manaen

na tum baz aao na hum baz aaen

qayāmat hai ye kah kar us ne lauTāyā hai qāsid ko

ki un to har ik ḳhat āḳhirī paiġhām hotā hai

qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko

ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now