Sher of Syed Basit Hussain Mahir Lakhnavi
tark-e-ulfat se mohabbat kā likhā miT na sakā
vahī afsurdagī-e-shām-o-sahar aaj bhī hai
tark-e-ulfat se mohabbat ka likha miT na saka
wahi afsurdagi-e-sham-o-sahar aaj bhi hai
hameñ to yaad nahīñ koī lamha-e-ishrat
kabhī tumhīñ ne kisī din hañsā diyā hogā
hamein to yaad nahin koi lamha-e-ishrat
kabhi tumhin ne kisi din hansa diya hoga
kamar bāñdho muqaddar ke sahāre baiThne vaalo
shikast-e-razm se rāhoñ kā pech-o-ḳham na badlegā
kamar bandho muqaddar ke sahaare baiThne walo
shikast-e-razm se rahon ka pech-o-KHam na badlega
phirtī hai to phir jaa.e badaltī hai to badle
duniyā kī nazar hai mirī qismat to nahīñ hai
phirti hai to phir jae badalti hai to badle
duniya ki nazar hai meri qismat to nahin hai
dil kī har baat kah ga.e aañsū
gir ke āñkhoñ se rah ga.e aañsū
dil ki har baat kah gae aansu
gir ke aankhon se rah gae aansu
dekh kar kaalī ghaTā ahl-e-qafas
aur kyā karte taḌap kar rah ga.e
dekh kar kali ghaTa ahl-e-qafas
aur kya karte taDap kar rah gae