Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Tabish Mehdi's Photo'

Tabish Mehdi

1951 | Delhi, India

Popular poet stressing ethic values

Popular poet stressing ethic values

Sher of Tabish Mehdi

1.3K
Favorite

SORT BY

ajnabī rāstoñ par bhaTakte rahe

ārzūoñ ik qāfilā aur maiñ

ajnabi raston par bhaTakte rahe

aarzuon ka ek qafila aur main

takoge raah sahāroñ tum miyāñ kab tak

qadam uThāo ki taqdīr intizār meñ hai

takoge rah sahaaron ki tum miyan kab tak

qadam uThao ki taqdir intizar mein hai

agar phūloñ ḳhvāhish hai to sun lo

kisī raah meñ kāñTe na rakhnā

agar phulon ki KHwahish hai to sun lo

kisi ki rah mein kanTe na rakhna

ye maanā vo shajar sūkhā bahut hai

magar us meñ abhī saayā bahut hai

ye mana wo shajar sukha bahut hai

magar us mein abhi saya bahut hai

paḌosī ke makāñ meñ chhat nahīñ hai

makāñ apne bahut ūñche na rakhnā

paDosi ke makan mein chhat nahin hai

makan apne bahut unche na rakhna

mire aiboñ ko ginvāyā to sab ne

kisī ne merī ġham-ḳhvārī nahīñ

mere aibon ko ginwaya to sab ne

kisi ne meri gham-KHwari nahin ki

der tak mil ke rote rahe raah meñ

un se baḌhtā huā fāslā aur maiñ

der tak mil ke rote rahe rah mein

un se baDhta hua fasla aur main

farishtoñ meñ bhī jis ke tazkire haiñ

vo tere shahr meñ rusvā bahut hai

farishton mein bhi jis ke tazkire hain

wo tere shahr mein ruswa bahut hai

ham ko ḳhabar hai shahr meñ us ke sañg-e-malāmat milte haiñ

phir bhī us ke shahr meñ jaanā kitnā achchhā lagtā hai

hum ko KHabar hai shahr mein us ke sang-e-malamat milte hain

phir bhi us ke shahr mein jaana kitna achchha lagta hai

ḳhatā maiñ ne koī bhārī nahīñ

amīr-e-shahr se yaarī nahīñ

TRANSLATION

A grave mistake I did not commit,

Friendship with the ruler I never did.

Sagar Akbarabadi

KHata main ne koi bhaari nahin ki

amir-e-shahr se yari nahin ki

TRANSLATION

A grave mistake I did not commit,

Friendship with the ruler I never did.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now