Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Vipul Kumar's Photo'

Vipul Kumar

1993 | Gurgaon, India

Prominent among contemporary young Urdu poets

Prominent among contemporary young Urdu poets

Sher of Vipul Kumar

6.3K
Favorite

SORT BY

ik roz khel khel meñ ham us ke ho ga.e

aur phir tamām umr kisī ke nahīñ hue

ek roz khel khel mein hum us ke ho gae

aur phir tamam umr kisi ke nahin hue

har mulāqāt pe siine se lagāne vaale

kitne pyāre haiñ mujhe chhoḌ ke jaane vaale

har mulaqat pe sine se lagane wale

kitne pyare hain mujhe chhoD ke jaane wale

us hijr pe tohmat ki jise vasl zid ho

us dard pe la.anat jo ash.ār meñ aa jaa.e

us hijr pe tohmat ki jise wasl ki zid ho

us dard pe lanat ki jo ashaar mein aa jae

itnā hairān na ho merī anā par pyāre

ishq meñ bhī ka.ī ḳhuddār nikal aate haiñ

itna hairan na ho meri ana par pyare

ishq mein bhi kai KHuddar nikal aate hain

ik din tirī galī meñ mujhe le ga.ī havā

aur phir tamām umr mujhe DhūñDhtī rahī

ek din teri gali mein mujhe le gai hawa

aur phir tamam umr mujhe DhunDhti rahi

mujh se kab us ko mohabbat thī magar mere ba.ad

us ne jis shaḳhs ko chāhā vo mire jaisā thā

mujh se kab us ko mohabbat thi magar mere baad

us ne jis shaKHs ko chaha wo mere jaisa tha

kuchh is liye bhī tirī aarzū nahīñ hai mujhe

maiñ chāhtā huuñ mirā ishq jāvedānī ho

kuchh is liye bhi teri aarzu nahin hai mujhe

main chahta hun mera ishq jawedani ho

is se pahle ki ye āzār gavāra kar leñ

aa mirī jaan mohabbat se kināra kar leñ

is se pahle ki ye aazar gawara kar len

aa meri jaan mohabbat se kinara kar len

dil bhī ajiib ḳhāna-e-vahdat-pasand thā

is ghar meñ to rahā be-dilī rahī

dil bhi ajib KHana-e-wahdat-pasand tha

is ghar mein ya to tu raha ya be-dili rahi

hamīñ ne hashr uThā rakkhā hai bichhaḌne par

vo jān-e-jāñ to pareshān bhī ziyāda nahīñ

hamin ne hashr uTha rakkha hai bichhaDne par

wo jaan-e-jaan to pareshan bhi ziyaada nahin

ik lamha-e-firāq pe vaarā gayā mujhe

kaisī hasīn shaam meñ maarā gayā mujhe

ek lamha-e-firaq pe wara gaya mujhe

kaisi hasin sham mein mara gaya mujhe

maiñ to shab-e-firāq thā tum ek umr thī

phir bhī ziyāda tum se guzāra gayā mujhe

main to shab-e-firaq tha tum ek umr thi

phir bhi ziyaada tum se guzara gaya mujhe

safīr-e-ishq hameñ ab to ham safar kar lo

hamāre paas to sāmān bhī ziyāda nahīñ

safir-e-ishq hamein ab to hum safar kar lo

hamare pas to saman bhi ziyaada nahin

bachā ke aañkh bichhaḌ jaa.eñ us se chupke se

abhī to apnī taraf dhyān bhī ziyāda nahīñ

bacha ke aankh bichhaD jaen us se chupke se

abhi to apni taraf dhyan bhi ziyaada nahin

ab ke masrūfiyat-e-ishq bahut hai ham ko

tum chale jaao to fursat se guzāra kar leñ

ab ke masrufiyat-e-ishq bahut hai hum ko

tum chale jao to fursat se guzara kar len

diloñ pe dard imkān bhī ziyāda nahīñ

vo sabr hai abhī nuqsān bhī ziyāda nahīñ

dilon pe dard ka imkan bhi ziyaada nahin

wo sabr hai abhi nuqsan bhi ziyaada nahin

badan meñ aag hai roġhan mire ḳhayāl meñ hai

judā rah abhī ḳhatra bahut visāl meñ hai

badan mein aag hai roghan mere KHayal mein hai

juda hi rah abhi KHatra bahut visal mein hai

vo ek haath baḌhā.egā tujh ko legā

so dekh sabr elaan bhī ziyāda nahīñ

wo ek hath baDhaega tujh ko pa lega

so dekh sabr ka elan bhi ziyaada nahin

use to daulat-e-duniyā bhī kam bhī paane ko

mirī to zaat mīzān bhī ziyāda nahīñ

use to daulat-e-duniya bhi kam bhi pane ko

meri to zat ka mizan bhi ziyaada nahin

tamām ishq mohlat hai is āñkhoñ meñ

aur ek lamha-e-imkān bhī ziyāda nahīñ

tamam ishq ki mohlat hai is aankhon mein

aur ek lamha-e-imkan bhi ziyaada nahin

jhiil kināra shānt pavan aur ham donoñ

ik lamhe ḳhālī-pan aur ham donoñ

jhil kinara shant pawan aur hum donon

ek lamhe ka KHali-pan aur hum donon

ik ḳhvāb jo mar jaa.e kahīñ aañkh se pīchhe

ik chīḳh simaTtī huī dīvār meñ aa jaa.e

ek KHwab jo mar jae kahin aankh se pichhe

ek chiKH simaTti hui diwar mein aa jae

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now