Sher of Wali Uzlat
ham us kī zulf kī zanjīr meñ hue haiñ asiir
sajan ke sar kī balā aa paḌī hamāre gale
hum us ki zulf ki zanjir mein hue hain asir
sajan ke sar ki bala aa paDi hamare gale
saḳht pistāñ tire chubhe dil meñ
apne hāthoñ se maiñ ḳharāb huā
saKHt pistan tere chubhe dil mein
apne hathon se main KHarab hua
siyā hai zaḳhm-e-bulbul gul ne ḳhaar aur bū-e-gulshan se
suuī taagā hamāre chāk-e-dil kā hai kahāñ dekheñ
siya hai zaKHm-e-bulbul gul ne KHar aur bu-e-gulshan se
sui taga hamare chaak-e-dil ka hai kahan dekhen
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
ai sālik intizār-e-haj meñ kyā tū hakka-bakkā hai
bagūle sā to kar le tauf dil pahlū meñ makka hai
ai salik intizar-e-haj mein kya tu hakka-bakka hai
bagule sa to kar le tauf dil pahlu mein makka hai
tirī vahshat kī sarsar se uḌā juuñ paat āñdhī kā
mirā dil haath se khoyā to tere haath kyā aayā
teri wahshat ki sarsar se uDa jun pat aandhi ka
mera dil hath se khoya to tere hath kya aaya
tirī zulf kī shab kā bedār maiñ huuñ
tujh āñkhoñ ke sāġhar kā mai-ḳhvār maiñ huuñ
teri zulf ki shab ka bedar main hun
tujh aankhon ke saghar ka mai-KHwar main hun
vo pal meñ jal-bujhā aur ye tamām raat jalā
hazār baar patiñge se hai charāġh bhalā
wo pal mein jal-bujha aur ye tamam raat jala
hazar bar patinge se hai charagh bhala
sahj yaad aa gayā vo laal holī-bāz juuñ dil meñ
gulālī ho gayā tan par mire ḳhirqa jo ujlā thā
sahj yaad aa gaya wo lal holi-baz jun dil mein
gulali ho gaya tan par mere KHirqa jo ujla tha
hindū o muslimīn haiñ hirs-o-havā-parast
ho āshnā-parast vahī hai ḳhudā-parast
hindu o muslimin hain hirs-o-hawa-parast
ho aashna-parast wahi hai KHuda-parast
bād-e-bahār meñ sab ātish junūn kī hai
har saal āvatī hai garmī meñ fasl-e-holī
baad-e-bahaar mein sab aatish junun ki hai
har sal aawati hai garmi mein fasl-e-holi
ishq gore husn kā āshiq ke dil ko de jalā
sāñvloñ ke āshiqoñ kā dil hai kaalā ko.elā
ishq gore husn ka aashiq ke dil ko de jala
sanwlon ke aashiqon ka dil hai kala koela
mohkme meñ ishq ke hai yaaro dīvāne kā shor
mere dil dene kā ġhul us ke mukar jaane kā shor
mohkme mein ishq ke hai yaro diwane ka shor
mere dil dene ka ghul us ke mukar jaane ka shor
talḳh lagtā hai use shahr kī bastī kā svaad
zauq hai jis ko bayābāñ ke nikal jaane kā
talKH lagta hai use shahr ki basti ka swad
zauq hai jis ko bayaban ke nikal jaane ka
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
jis par nazar paḌe use ḳhud se nikālnā
raushan-diloñ kā kaam hai mānind-e-ā.īna
jis par nazar paDe use KHud se nikalna
raushan-dilon ka kaam hai manind-e-aina
jald mar ga.e tirī hasrat setī ham
ki tirā der kā aanā na gayā
jald mar gae teri hasrat seti hum
ki tera der ka aana na gaya
ga.e sab mard rah ga.e rahzan ab ulfat se kāmil huuñ
ai dil vaalo maiñ in dil vāliyoñ se saḳht be-dil huuñ
gae sab mard rah gae rahzan ab ulfat se kaamil hun
ai dil walo main in dil waliyon se saKHt be-dil hun
jape hai vird sā tujh se sanam ke naam ko shaiḳh
namāz toḌ uThe tere raam raam ko shaiḳh
jape hai wird sa tujh se sanam ke nam ko shaiKH
namaz toD uThe tere ram ram ko shaiKH
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
kahā jo maiñ ne gayā ḳhat se haa.e terā husn
to hañs ke mujh ko kahā pashm se gayā to gayā
kaha jo main ne gaya KHat se hae tera husn
to hans ke mujh ko kaha pashm se gaya to gaya
ġhanīmat buujh leveñ mere dard-ālūd nāloñ ko
ye dīvāna bahut yaad aa.egā shahrī ġhazāloñ ko
ghanimat bujh lewen mere dard-alud nalon ko
ye diwana bahut yaad aaega shahri ghazalon ko
jo ham ye tifloñ ke sañg-e-jafā ke maare haiñ
butoñ kā shikva nahīñ ham ḳhudā ke maare haiñ
jo hum ye tiflon ke sang-e-jafa ke mare hain
buton ka shikwa nahin hum KHuda ke mare hain
kuchh ġhaur kā jauhar nahīñ ḳhud-fahmī meñ hairāñ haiñ
is asr ke fāzil sab sat.hī haiñ juuñ ā.īna
kuchh ghaur ka jauhar nahin KHud-fahmi mein hairan hain
is asr ke fazil sab sathi hain jun aaina
us ko pahuñchī ḳhabar ki jiitā huuñ
kisī dushman setī sunā hogā
us ko pahunchi KHabar ki jita hun
kisi dushman seti suna hoga
maiñ sahrā jā ke qabr-e-hazrat-e-majnūñ ko dekhā thā
ziyārat karte the aahū bagūla tauf kartā thā
main sahra ja ke qabr-e-hazrat-e-majnun ko dekha tha
ziyarat karte the aahu bagula tauf karta tha
jo āshiq ho use sahrā meñ chal jaane se kyā nisbat
juz apnī dhuul uḌānā aur vīrāne se kyā nisbat
jo aashiq ho use sahra mein chal jaane se kya nisbat
juz apni dhul uDana aur virane se kya nisbat
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
piir ho shaiḳh huā hai dekho tifloñ kā murīd
murda bolā hai kafan phaaḌ qayāmat aa.ī
pir ho shaiKH hua hai dekho tiflon ka murid
murda bola hai kafan phaD qayamat aai
jā kar fanā ke us taraf āsūda maiñ huā
maiñ ālam-e-adam meñ bhī dekhā maza na thā
ja kar fana ke us taraf aasuda main hua
main aalam-e-adam mein bhi dekha maza na tha
jaave thī jāsūsī-e-majnūñ ko tā rāhat na le
varna kab lailā ko thā sahrā meñ jaane kā dimāġh
jawe thi jasusi-e-majnun ko ta rahat na le
warna kab laila ko tha sahra mein jaane ka dimagh
is zamāne meñ buzurgī siflagī kā naam hai
jis kī Tikiyā meñ phire uñglī so ho jaave tirā
is zamane mein buzurgi siflagi ka nam hai
jis ki Tikiya mein phire ungli so ho jawe tera