Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Zaheer Ghazipuri's Photo'

Zaheer Ghazipuri

1938 | Hazaribagh, India

Sher of Zaheer Ghazipuri

bam phaTe log mare ḳhuun bahā shahr luTe

aur kyā likkhā hai aḳhbār meñ aage paḌhiye

bam phaTe log mare KHun baha shahr luTe

aur kya likkha hai aKHbar mein aage paDhiye

kāġhaz naav bhī hai khilaune bhī haiñ bahut

bachpan se phir bhī haath milānā muhāl hai

kaghaz ki naw bhi hai khilaune bhi hain bahut

bachpan se phir bhi hath milana muhaal hai

tā-umr apnī fikr o riyāzat ke bāvajūd

ḳhud ko kisī sazā se bachānā muhāl hai

ta-umr apni fikr o riyazat ke bawajud

KHud ko kisi saza se bachana muhaal hai

utre to ka.ī baar sahīfe mire ghar meñ

milte haiñ magar sirf jarīde mire ghar meñ

utre to kai bar sahife mere ghar mein

milte hain magar sirf jaride mere ghar mein

reza reza apnā paikar ik na.ī tartīb meñ

canvas par dekh kar hairān ho jaanā paḌā

reza reza apna paikar ek nai tartib mein

canwas par dekh kar hairan ho jaana paDa

Recitation

Speak Now