Zubair Rizvi
Ghazal 40
Nazm 37
Sher-o-Shayari 32
tum apne chāñd taare kahkashāñ chāhe jise denā
mirī āñkhoñ pe apnī diid kī ik shaam likh denā
tum apne chand tare kahkashan chahe jise dena
meri aankhon pe apni did ki ek sham likh dena
-
Share this
- See Ghazal
ye lamha lamha takalluf ke TūTte rishte
na itne paas mire aa ki tū purānā lage
ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne pas mere aa ki tu purana lage
-
Share this
- See Ghazal
purāne log dariyāoñ meñ nekī Daal aate the
hamāre daur kā insān nekī kar ke chīḳhegā
purane log dariyaon mein neki Dal aate the
hamare daur ka insan neki kar ke chiKHega
-
Share this
- See Ghazal
shaam kī dahlīz par Thahrī huī yādeñ 'zubair'
ġham kī mehrāboñ ke dhundle ā.īne chamkā ga.iiñ
sham ki dahliz par Thahri hui yaaden 'zubair'
gham ki mehrabon ke dhundle aaine chamka gain
-
Share this
- See Ghazal
kyuuñ matā-e-dil ke luT jaane kā koī ġham kare
shahr-e-dillī meñ to aise vāqiye hote rahe
kyun mata-e-dil ke luT jaane ka koi gham kare
shahr-e-dilli mein to aise waqiye hote rahe
-
Share this
- See Ghazal
Geet 1
BOOKS 81
Image Shayari 4
kahaa.n mai.n jaa.uu.n Gam-e-ishq-e-raa.egaa.n le kar ye apne ranj ye apnii udaasiyaa.n le kar jalaa hai dil yaa ko.ii ghar ye dekhnaa logo havaa.e.n phirtii hai.n chaaro.n taraf dhu.aa.n le kar bas ik hamaaraa lahuu sarf-e-qatl-gaah hu.aa kha.De hu.e the bahut apne jism o jaa.n le kar na.e gharo.n me.n na rauzan the aur na mehraabe.n parinde lauT ga.e apne aashiyaa.n le kar samundaro.n ke safar jin ke naam likkhe the utar ga.e vo kinaaro.n pe kashtiyaa.n le kar talaash karte hai.n nau-saaKHta makaano.n me.n ham apne ghar ko puraanii nishaaniyaa.n le kar unhe.n bhii sahne pa.De the azaab mausam ke chale the apne saro.n par jo saa.ebaa.n le kar havaa me.n hilte hu.e haath puuchhte hai.n 'zubair' tum ab ga.e to kab aa.oge chhuTTiyaa.n le kar