Aanis Moin
Ghazal 12
Nazm 2
Sher-o-Shayari 31
anjām ko pahuñchūñgā maiñ anjām se pahle
ḳhud merī kahānī bhī sunā.egā koī aur
anjam ko pahunchunga main anjam se pahle
KHud meri kahani bhi sunaega koi aur
-
Share this
- See Ghazal
vo jo pyāsā lagtā thā sailāb-zada thā
paanī paanī kahte kahte Duub gayā hai
wo jo pyasa lagta tha sailab-zada tha
pani pani kahte kahte Dub gaya hai
-
Share this
- See Ghazal
ik Dūbtī dhaḌkan kī sadā log na sun leñ
kuchh der ko bajne do ye shahnā.ī zarā aur
ek Dubti dhaDkan ki sada log na sun len
kuchh der ko bajne do ye shahnai zara aur
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 11
vo mere haal pe royaa bhii muskuraayaa bhii ajiib shaKHs hai apnaa bhii hai paraayaa bhii ye intizaar sahar kaa thaa yaa tumhaaraa thaa diyaa jalaayaa bhii mai.n ne diyaa bujhaayaa bhii mai.n chaahtaa huu.n Thahar jaa.e chashm-e-dariyaa me.n laraztaa aks tumhaaraa bhii meraa saayaa bhii bahut mahiin thaa parda laraztii aa.nkho.n kaa mujhe dikhaayaa bhii tuu ne mujhe chhupaayaa bhii bayaaz bhar bhii ga.ii aur phir bhii saada hai tumhaare naam ko likkhaa bhii aur miTaayaa bhii
ho jaa.egii jab tum se shanaasaa.ii zaraa aur ba.Dh jaa.egii shaayad mirii tanhaa.ii zaraa aur kyuu.n khul ga.e logo.n pe mirii zaat ke asraar ai kaash ki hotii mirii gahraa.ii zaraa aur phir haath pe zaKHmo.n ke nishaa.n gin na sakoge ye uljhii hu.ii Dor jo suljhaa.ii zaraa aur tardiid to kar saktaa thaa phailegii magar baat is taur bhii hogii tirii rusvaa.ii zaraa aur kyuu.n tark-e-ta.alluq bhii kiyaa lauT bhii aayaa? achchhaa thaa ki hotaa jo vo harjaa.ii zaraa aur hai diip tirii yaad kaa raushan abhii dil me.n ye KHauf hai lekin jo havaa aa.ii zaraa aur la.Dnaa vahii.n dushman se jahaa.n gher sako tum jiitoge tabhii hogii jo paspaa.ii zaraa aur ba.Dh jaa.e.nge kuchh aur lahuu bechne vaale ho jaa.e agar shahr me.n mah.ngaa.ii zaraa aur ik Duubtii dha.Dkan kii sadaa log na sun le.n kuchh der ko bajne do ye shahnaa.ii zaraa aur

vo kuchh gahrii soch me.n aise Duub gayaa hai baiThe baiThe nadii kinaare Duub gayaa hai aaj kii raat na jaane kitnii lambii hogii aaj kaa suuraj shaam se pahle Duub gayaa hai vo jo pyaasaa lagtaa thaa sailaab-zada thaa paanii paanii kahte kahte Duub gayaa hai mere apne andar ek bha.nvar thaa jis me.n meraa sab kuchh saath hii mere Duub gayaa hai shor to yuu.n uTThaa thaa jaise ik tuufaa.n ho sannaaTe me.n jaane kaise Duub gayaa hai aaKHirii KHvaahish puurii kar ke jiinaa kaisaa 'aanas' bhii saahil tak aa ke Duub gayaa hai