Akhtar Saeed Khan
Ghazal 36
Sher-o-Shayari 28
aa ki maiñ dekh luuñ khoyā huā chehra apnā
mujh se chhup kar mirī tasvīr banāne vaale
aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri taswir banane wale
-
Share this
- See Ghazal
khulī āñkhoñ nazar aatā nahīñ kuchh
har ik se pūchhtā huuñ vo gayā kyā
khuli aankhon nazar aata nahin kuchh
har ek se puchhta hun wo gaya kya
-
Share this
- See Ghazal
kis ko fursat thī ki 'aḳhtar' dekhtā merī taraf
maiñ jahāñ jis bazm meñ jab tak rahā tanhā rahā
kis ko fursat thi ki 'aKHtar' dekhta meri taraf
main jahan jis bazm mein jab tak raha tanha raha
-
Share this
- See Ghazal
nā-umīdī harf-e-tohmat hī sahī kyā kījiye
tum qarīb aate nahīñ ho aur ḳhudā miltā nahīñ
na-umidi harf-e-tohmat hi sahi kya kijiye
tum qarib aate nahin ho aur KHuda milta nahin
-
Share this
- See Ghazal
ye bastī is qadar sunsān kab thī
dil-e-shorīda thak kar so gayā kyā
ye basti is qadar sunsan kab thi
dil-e-shorida thak kar so gaya kya
-
Share this
- See Ghazal