Fahmida Riaz
Ghazal 7
Nazm 43
Sher-o-Shayari 3
kis se ab ārzū-e-vasl kareñ
is ḳharābe meñ koī mard kahāñ
kis se ab aarzu-e-wasl karen
is KHarabe mein koi mard kahan
-
Share this
- See Ghazal
chalte chalte kuchh tham jaanā phir bojhal qadmoñ se chalnā
ye kaisī kasak sī baaqī hai jab paañv meñ vo kāñTā bhī nahīñ
chalte chalte kuchh tham jaana phir bojhal qadmon se chalna
ye kaisi kasak si baqi hai jab panw mein wo kanTa bhi nahin
-
Share this
- See Ghazal
Short story 3
BOOKS 30
Image Shayari 1
zabaano.n ke ras me.n ye kaisii mahak hai ye bosa ki jis se mohabbat kii sahbaa kii u.Dtii hai KHushbuu ye bad-mast KHushbuu jo gahraa Gunuuda nasha laa rahii hai ye kaisaa nasha hai mere zehn ke reze reze me.n ek aa.nkh sii khul ga.ii hai tum apnii zabaa.n mere mu.nh me.n rakhe jaise paataal se merii jaa.n khii.nchte ho ye bhiigaa hu.aa garm o taariik bosa amaavas kii kaalii barastii hu.ii raat jaise umaDtii chalii aa rahii hai kahii.n ko.ii saa.at azal se ramiida mirii ruuh ke dasht me.n u.D rahii thii vo saa.at qarii.n-tar chalii aa rahii hai mujhe aisaa lagtaa hai taariikiyo.n ke larazte hu.e pul ko mai.n paar kartii chalii jaa rahii huu.n ye pul KHatm hone ko hai aur ab us ke aage kahii.n raushnii hai