Sher of imtiyaz Khan
kyā yūñhī ḳhāmosh duniyā se guzar jā.eñge ham
kyā jo kahnā hai vo sab kuchh an-kahā rah jā.egā
kya yunhi KHamosh duniya se guzar jaenge hum
kya jo kahna hai wo sab kuchh an-kaha rah jaega
ehsān zindagī pe kiye jā rahe haiñ ham
man to nahīñ hai phir bhī jiye jā rahe haiñ ham
ehsan zindagi pe kiye ja rahe hain hum
man to nahin hai phir bhi jiye ja rahe hain hum
ham ko aksar ye ḳhayāl aatā hai us ko dekh kar
ye sitāra kaise ġhalatī se zamīñ par rah gayā
hum ko aksar ye KHayal aata hai us ko dekh kar
ye sitara kaise ghalati se zamin par rah gaya
-
Tag : Mehboob
-
Share this
- See Ghazal
- Critique
- Comments
- Download
rāh-e-dil ko rauñd kar aage nikal jā.eñge log
aañkh meñ uThtā ġhubār-e-qāfila rah jā.egā
rah-e-dil ko raund kar aage nikal jaenge log
aankh mein uThta ghubar-e-qafila rah jaega