Kaleem Aajiz
Ghazal 63
Nazm 1
Sher-o-Shayari 67
baat chāhe be-salīqa ho 'kalīm'
baat kahne kā salīqa chāhiye
baat chahe be-saliqa ho 'kalim'
baat kahne ka saliqa chahiye
-
Share this
- See Ghazal
dil dard kī bhaTTī meñ ka.ī baar jale hai
tab ek ġhazal husn ke sāñche meñ Dhale hai
dil dard ki bhaTTi mein kai bar jale hai
tab ek ghazal husn ke sanche mein Dhale hai
-
Share this
- See Ghazal
zindagī mā.il-e-fariyād-o-fuġhāñ aaj bhī hai
kal bhī thā siine pe ik sañg-e-girāñ aaj bhī hai
zindagi mail-e-fariyaad-o-fughan aaj bhi hai
kal bhi tha sine pe ek sang-e-giran aaj bhi hai
-
Share this
- See Ghazal
BOOKS 19
Image Shayari 7
bekasii hai aur dil naashaad hai ab inhii.n dono.n se ghar aabaad hai ab unhii.n kii fikr me.n sayyaad hai jin ke naGmo.n se chaman aabaad hai jo mujhe barbaad kar ke shaad hai us sitamgar ko mubaarakbaad hai tum ne jo chaahaa vahii ho kar rahaa ye hamaarii muKHtasar ruudaad hai ham ne tum se rakh ke ummiid-e-karam vo sabaq siikhaa ki ab tak yaad hai bebasii ban kar na Tapke aa.nkh se dil me.n jo ik hasrat-e-fariyaad hai
kuu-e-qaatil hai magar jaane ko jii chaahe hai ab to kuchh faisla kar jaane ko jii chaahe hai log apne dar-o-diivaar se hoshiyaar rahe.n aaj diivaane kaa ghar jaane ko jii chaahe hai dard aisaa hai ki jii chaahe hai zinda rahiye zindagii aisii ki mar jaane ko jii chaahe hai dil ko zaKHmo.n ke sivaa kuchh na diyaa phuulo.n ne ab to kaa.nTo.n me.n utar jaane ko jii chaahe hai chhaa.nv va.ado.n kii hai bas dhokaa hii dhokaa ai dil mat Thahar garche Thahar jaane ko jii chaahe hai zindagii me.n hai vo uljhan ki pareshaa.n ho kar zulf kii tarah bikhar jaane ko jii chaahe hai qatl karne kii adaa bhii hasii.n qaatil bhii hasii.n na bhii marnaa ho to mar jaane ko jii chaahe hai jii ye chaahe hai ki puuchhuu.n kabhii un zulfo.n se kyaa tumhaaraa bhii sa.nvar jaane ko jii chaahe hai rasan-o-daar idhar kaakul-o-ruKHsaar udhar dil bataa teraa kidhar jaane ko jii chaahe hai