Sarvat Husain
Ghazal 38
Nazm 24
Sher-o-Shayari 44
sūrmā jis ke kināroñ se palaT aate haiñ
maiñ ne kashtī ko utārā hai usī paanī meñ
surma jis ke kinaron se palaT aate hain
main ne kashti ko utara hai usi pani mein
-
Share this
- See Ghazal
bhar jā.eñge jab zaḳhm to ā.ūñgā dobārā
maiñ haar gayā jañg magar dil nahīñ haarā
bhar jaenge jab zaKHm to aaunga dobara
main haar gaya jang magar dil nahin haara
-
Share this
- See Ghazal
jise anjām tum samajhtī ho
ibtidā hai kisī kahānī kī
jise anjam tum samajhti ho
ibtida hai kisi kahani ki
-
Share this
- See Ghazal
maut ke darinde meñ ik kashish to hai 'sarvat'
log kuchh bhī kahte hoñ ḳhud-kushī ke baare meñ
maut ke darinde mein ek kashish to hai 'sarwat'
log kuchh bhi kahte hon KHud-kushi ke bare mein
-
Share this
- See Ghazal
Image Shayari 6
aadmii pe.D aur makaan saaf niilaa aasmaan sa.ng-reze aur gulaab sab ke sab achchhe lage us ke ghar jaate hu.e
phir vo barsaat dhyaan me.n aa.ii tab kahii.n jaan jaan me.n aa.ii phuul paanii me.n gir pa.De saare achchhii jumbish chaTaan me.n aa.ii raushnii kaa ataa-pataa lene shab-e-tiira jahaan me.n aa.ii raqs-e-sayyaargaa.n kii manzil bhii safar-e-KHaak-daan me.n aa.ii