Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Shahid Zaki's Photo'

Shahid Zaki

1974 | Sialkot, Pakistan

A famous Pakistani poet and a prominent name in Mushairas

A famous Pakistani poet and a prominent name in Mushairas

Sher of Shahid Zaki

4.3K
Favorite

SORT BY

maiñ badalte hue hālāt meñ Dhal jaatā huuñ

dekhne vaale adākār samajhte haiñ mujhe

main badalte hue haalat mein Dhal jata hun

dekhne wale adakar samajhte hain mujhe

maiñ aap apnī maut tayyāriyoñ meñ huuñ

mere ḳhilāf aap sāzish fuzūl hai

main aap apni maut ki tayyariyon mein hun

mere KHilaf aap ki sazish fuzul hai

raushnī bāñTtā huuñ sarhadoñ ke paar bhī maiñ

ham-vatan is liye ġhaddār samajhte haiñ mujhe

raushni banTta hun sarhadon ke par bhi main

ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe

yaar bhī raah dīvār samajhte haiñ mujhe

maiñ samajhtā thā mire yaar samajhte haiñ mujhe

yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe

main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe

phaloñ ke saath kahīñ ghoñsle na gir jaa.eñ

ḳhayāl rakhtā huuñ patthar uchhāltā huā maiñ

phalon ke sath kahin ghonsle na gir jaen

KHayal rakhta hun patthar uchhaalta hua main

bin māñge mil rahā ho to ḳhvāhish fuzūl hai

sūraj se raushnī guzārish fuzūl hai

bin mange mil raha ho to KHwahish fuzul hai

suraj se raushni ki guzarish fuzul hai

maiñ to ḳhud bikne ko bāzār meñ aayā huā huuñ

aur dukāñ-dār ḳharīdār samajhte haiñ mujhe

main to KHud bikne ko bazar mein aaya hua hun

aur dukan-dar KHaridar samajhte hain mujhe

lāshoñ meñ ek laash mirī bhī na ho kahīñ

taktā huuñ ek ek ko chādar uThā ke maiñ

lashon mein ek lash meri bhi na ho kahin

takta hun ek ek ko chadar uTha ke main

maiñ sar-ba-sajda sakūñ meñ nahīñ safar meñ huuñ

jabīñ pe daaġh nahīñ aabla banā huā hai

main sar-ba-sajda sakun mein nahin safar mein hun

jabin pe dagh nahin aabla bana hua hai

ab mujhe bolnā nahīñ paḌtā

ab maiñ har shaḳhs pukār meñ huuñ

ab mujhe bolna nahin paDta

ab main har shaKHs ki pukar mein hun

abhī to pahle paroñ bhī qarz hai mujh par

jhijak rahā huuñ na.e par nikāltā huā maiñ

abhi to pahle paron ka bhi qarz hai mujh par

jhijak raha hun nae par nikalta hua main

Recitation

Speak Now