aae hain fatiha ko wo gesu sanwar ke
aa.e haiñ fātiha ko vo gesū sañvār ke
chamke nasīb aaj hamāre mazār ke
dekho karishme rahmat-e-parvardigār ke
kyā aaḌe aa.ī hashr meñ mujh sharmsār ke
tasvīr ban ga.e haiñ vo zikr-e-visāl par
qurbān jā.iye nigah-e-sharmsār ke
rone lage vo dekh ke hāl-e-zabūñ mirā
ehsān mujh pe haiñ sitam-e-rozgār ke
taskīn ḳhaak bāda-e-kausar se ho unheñ
jin ko maze hoñ yaad mai-e-ḳhush-gavār ke
kahte na the ki aap taġhāful na kījiye
ab kyoñ gile haiñ nāla-e-be-iḳhtiyār ke
sone de shor-e-hashr zarā chain se hameñ
jaage hue bahut haiñ shab-e-intizār ke
hushiyār kar diyā kisī ġhaflat-shi.ār ko
mamnūn ham haiñ nāla-e-be-iḳhtiyār ke
sayyād bāl-o-par mire ab kāTtā hai kyoñ
din to guzar chuke haiñ sitamgar bahār ke
jhuñjhlā ke bol uTThe ki le rakh tū apnā dil
jhagḌe mujhe pasand nahīñ baar baar ke
ā.īna le ke zulf-e-girah-gīr dekh leñ
pūchheñ sabab na aap mire intishār ke
sargarm-e-sair vo haiñ udhar lāla-zār meñ
laale idhar paḌe haiñ dil-e-dāġh-dār ke
shāmat savār ho na kahīñ tujh pe vā.izā
yuuñ pīchhe tū paḌā hai jo har bāda-ḳhvār ke
be-iḳhtiyār pahlū-e-dushman se vo uThe
the sho.abde ye nāla-e-be-iḳhtiyār ke
'nashtar' tumhārā zabt-e-fuġhāñ be-sabab nahīñ
āshiq zarūr tum ho kisī parda-dār ke
aae hain fatiha ko wo gesu sanwar ke
chamke nasib aaj hamare mazar ke
dekho karishme rahmat-e-parwardigar ke
kya aaDe aai hashr mein mujh sharmsar ke
taswir ban gae hain wo zikr-e-visal par
qurban jaiye nigah-e-sharmsar ke
rone lage wo dekh ke haal-e-zabun mera
ehsan mujh pe hain sitam-e-rozgar ke
taskin KHak baada-e-kausar se ho unhen
jin ko maze hon yaad mai-e-KHush-gawar ke
kahte na the ki aap taghaful na kijiye
ab kyon gile hain nala-e-be-iKHtiyar ke
sone de shor-e-hashr zara chain se hamein
jage hue bahut hain shab-e-intizar ke
hushiyar kar diya kisi ghaflat-shiar ko
mamnun hum hain nala-e-be-iKHtiyar ke
sayyaad baal-o-par mere ab kaTta hai kyon
din to guzar chuke hain sitamgar bahaar ke
jhunjhla ke bol uTThe ki le rakh tu apna dil
jhagDe mujhe pasand nahin bar bar ke
aaina le ke zulf-e-girah-gir dekh len
puchhen sabab na aap mere intishaar ke
sargarm-e-sair wo hain udhar lala-zar mein
lale idhar paDe hain dil-e-dagh-dar ke
shamat sawar ho na kahin tujh pe waiza
yun pichhe tu paDa hai jo har baada-KHwar ke
be-iKHtiyar pahlu-e-dushman se wo uThe
the shoabde ye nala-e-be-iKHtiyar ke
'nashtar' tumhaara zabt-e-fughan be-sabab nahin
aashiq zarur tum ho kisi parda-dar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.