aaine mein ek aaina kuchh ujla kuchh dhundla sa
ā.īne meñ ik ā.īna kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
mere aage merā sarāpā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
shart to ye thī saare munsif sach ke alāva kuchh na likheñ
lekin sab ne ḳhud ko sochā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
jab bhī ḳhud ko chhū kar dekhā ret kī ik dīvār lagā
jab bhī samjhā ḳhud ko samjhā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
bārish jab man jiit na paa.ī dariyā se yaarī kar lī
lamha lamha bhīgā bhīgā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
ek pighalte din kā saayā ek sulagtī raat kā aks
kis ne dekhā jo andar thā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
is duniyā se kuchh na māñgā is duniyā ko kuchh na diyā
rahā haath meñ apnā chehrā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
lahreñ to aa.ī thiiñ lekin sāhil chhū kar lauT ga.iiñ
duur koī saayā lahrāyā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
jaane kaise shor ne mujh ko be-āvāz kiyā 'parvāz'
hāthoñ meñ hai ab sannāTā kuchh ujlā kuchh dhuñdlā sā
aaine mein ek aaina kuchh ujla kuchh dhundla sa
mere aage mera sarapa kuchh ujla kuchh dhundla sa
shart to ye thi sare munsif sach ke alawa kuchh na likhen
lekin sab ne KHud ko socha kuchh ujla kuchh dhundla sa
jab bhi KHud ko chhu kar dekha ret ki ek diwar laga
jab bhi samjha KHud ko samjha kuchh ujla kuchh dhundla sa
barish jab man jit na pai dariya se yari kar li
lamha lamha bhiga bhiga kuchh ujla kuchh dhundla sa
ek pighalte din ka saya ek sulagti raat ka aks
kis ne dekha jo andar tha kuchh ujla kuchh dhundla sa
is duniya se kuchh na manga is duniya ko kuchh na diya
raha hath mein apna chehra kuchh ujla kuchh dhundla sa
lahren to aai thin lekin sahil chhu kar lauT gain
dur koi saya lahraya kuchh ujla kuchh dhundla sa
jaane kaise shor ne mujh ko be-awaz kiya 'parwaz'
hathon mein hai ab sannaTa kuchh ujla kuchh dhundla sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.