aaj rota hai mere dil ko jalane wala
aaj rotā hai mire dil ko jalāne vaalā
paanī ko dauḌtā hai aag lagāne vaalā
kab vo ham ko bhalā ḳhātir meñ hai laane vaalā
kaun duniyā meñ rahā naaz uThāne vaalā
kaise miltā hai zamāne ko nibhāne vaalā
jo milā ham ko milā dil kā dukhāne vaalā
koī nā-fahm kahāñ baat ko terī samjhe
kyā hī andāz hai har baat uḌāne vaalā
phir ke dekhā na kabhī koī ho jiitā martā
kaisā be-rahm hai muñh pher ke jaane vaalā
ḳhauf kis kā hai tumheñ hiila bahāna na karo
aa hī jaatā hai har ik taur se aane vaalā
ai sabā kah de ki ḳhāmosh rahe murġh-e-sahar
kaun hotā hai vo sote ko jagāne vaalā
pahlū-e-qabr meñ ik roz hai sonā sab ko
nāznīñ koī ho yā naaz uThāne vaalā
naza.a meñ dekh ke 'dīvān' ko ro kar bole
rūThā jaatā hai mirā aaj manāne vaalā
aaj rota hai mere dil ko jalane wala
pani ko dauDta hai aag lagane wala
kab wo hum ko bhala KHatir mein hai lane wala
kaun duniya mein raha naz uThane wala
kaise milta hai zamane ko nibhane wala
jo mila hum ko mila dil ka dukhane wala
koi na-fahm kahan baat ko teri samjhe
kya hi andaz hai har baat uDane wala
phir ke dekha na kabhi koi ho jita marta
kaisa be-rahm hai munh pher ke jaane wala
KHauf kis ka hai tumhein hila bahana na karo
aa hi jata hai har ek taur se aane wala
ai saba kah de ki KHamosh rahe murgh-e-sahar
kaun hota hai wo sote ko jagane wala
pahlu-e-qabr mein ek roz hai sona sab ko
naznin koi ho ya naz uThane wala
naza mein dekh ke 'diwan' ko ro kar bole
ruTha jata hai mera aaj manane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.