aankh dariya mila rawani ko
aañkh dariyā milā ravānī ko
aur par lag ga.e the paanī ko
āḳhirī vaqt meñ sameTeñge
zindagī-bhar kī raftgānī ko
sher kahtā huuñ sher kartā nahīñ
kaun samjhā.e us divānī ko
is fasāne kī umr khāne lagī
mere kirdār kī javānī ko
zaḳhm kaaTe haiñ tere maslahatan
phir ugā.ūñgā is nishānī ko
chīḳh uTThā phir ik visāl-zada
hijr kā ant de kahānī ko
aankh dariya mila rawani ko
aur par lag gae the pani ko
aaKHiri waqt mein sameTenge
zindagi-bhar ki raftgani ko
sher kahta hun sher karta nahin
kaun samjhae us diwani ko
is fasane ki umr khane lagi
mere kirdar ki jawani ko
zaKHm kaTe hain tere maslahatan
phir ugaunga is nishani ko
chiKH uTTha phir ek visal-zada
hijr ka ant de kahani ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.