aap kya hain aapko jaana to andaza hua
aap kyā haiñ aap ko jaanā to andāza huā
dil huā ka.aba se but-ḳhāna to andāza huā
kitnā mushkil kaam hai tauba kā rakhnā barqarār
sāmne aaya jo paimāna to andāza huā
sham'-e-mahfil ko na andāza thā apnī aag kā
ho gayā jab ḳhaak parvāna to andāza huā
un kī āñkhoñ meñ bhī mastī hai sharāb-e-nāb sī
gir gayā hāthoñ se paimāna to andāza huā
koī tabdīlī huī hai merī hālat meñ zarūr
mujh ko apnoñ ne na pahchānā to andāza huā
merī be-pāyāñ mohabbat hai fareb-e-husn-o-ishq
kah ga.e vo hañs ke dīvāna to andāza huā
maiñ shahanshāh-e-dayār-e-ishq huuñ hairat nahīñ
ho gayā jab un se yārāna to andāza huā
aap kya hain aap ko jaana to andaza hua
dil hua kaba se but-KHana to andaza hua
kitna mushkil kaam hai tauba ka rakhna barqarar
samne aaya jo paimana to andaza hua
sham'-e-mahfil ko na andaza tha apni aag ka
ho gaya jab KHak parwana to andaza hua
un ki aankhon mein bhi masti hai sharab-e-nab si
gir gaya hathon se paimana to andaza hua
koi tabdili hui hai meri haalat mein zarur
mujh ko apnon ne na pahchana to andaza hua
meri be-payan mohabbat hai fareb-e-husn-o-ishq
kah gae wo hans ke diwana to andaza hua
main shahanshah-e-dayar-e-ishq hun hairat nahin
ho gaya jab un se yarana to andaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.