aariz-e-gul mein jhalak hai shah ke ruKHsar ki
aariz-e-gul mein jhalak hai shah ke ruKHsar ki
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad
āriz-e-gul meñ jhalak hai shaah ke ruḳhsār kī
ye koī tārīf hai itne baḌe sarkār kī
shaah kī tārīf kā aalī se aalī ho bayāñ
ye to vo tārīf hai jaise kisī dildār kī
mid.hat-e-shah aise lafzoñ meñ ho ye zebā nahīñ
zeb de sardār ko vo mad.h ho sardār kī
gar kisī ko vasf karnā hai to lāzim hai use
adl kī mid.hat kare yā bazl yā talvār kī
banda-parvar ādil-o-bāzil shajī.a-o-dīñ-panāh
haiñ ye tārīfeñ hamāre rahm-dil sarkār kī
banda-parvar aise haiñ un kā koī saanī nahīñ
muttafiq hai sab dakan hājat nahīñ iz.hār kī
adl kā misl-e-dar-e-tauba hai darvāza khulā
kuchh zarūrat hī nahīñ iz.hār kī takrār kī
sher bakrī mil ke paanī piite haiñ ik ghaaT ab
ye haqīqī vasf hai mid.hat hai is sarkār kī
is tarah ke haiñ saḳhī qatre ko dariyā kar diyā
ho sake kyā mid.hat un ke dast-e-dariyā-bār kī
be-ta.assub aise jaise aa.ina hai be-ġhubār
ho ga.ī hai rishta-dārī sub.ha-o-zunnār kī
'shād' mere shaah ko rakkhe hamesha kirdgār
umr-o-azmat ho fuzūñ yā-rab mire sarkār kī
aariz-e-gul mein jhalak hai shah ke ruKHsar ki
ye koi tarif hai itne baDe sarkar ki
shah ki tarif ka aali se aali ho bayan
ye to wo tarif hai jaise kisi dildar ki
midhat-e-shah aise lafzon mein ho ye zeba nahin
zeb de sardar ko wo madh ho sardar ki
gar kisi ko wasf karna hai to lazim hai use
adl ki midhat kare ya bazl ya talwar ki
banda-parwar aadil-o-bazil shajia-o-din-panah
hain ye tarifen hamare rahm-dil sarkar ki
banda-parwar aise hain un ka koi sani nahin
muttafiq hai sab dakan hajat nahin izhaar ki
adl ka misl-e-dar-e-tauba hai darwaza khula
kuchh zarurat hi nahin izhaar ki takrar ki
sher bakri mil ke pani pite hain ek ghaT ab
ye haqiqi wasf hai midhat hai is sarkar ki
is tarah ke hain saKHi qatre ko dariya kar diya
ho sake kya midhat un ke dast-e-dariya-bar ki
be-tassub aise jaise aaina hai be-ghubar
ho gai hai rishta-dari subha-o-zunnar ki
'shad' mere shah ko rakkhe hamesha kirdgar
umr-o-azmat ho fuzun ya-rab mere sarkar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.