aate hain laKHt-e-jigar kaT kaT ke mushkil se alag
aate hain laKHt-e-jigar kaT kaT ke mushkil se alag
Mohammad Zakariyya Khan
MORE BYMohammad Zakariyya Khan
aate haiñ laḳht-e-jigar kaT kaT ke mushkil se alag
jū-e-ḳhūñ āñkhoñ ko hotī hai ravāñ dil se alag
rakhiye kyoñ tasvīr-e-yār ā.īna-e-dil se alag
naqsh-e-hairat kab huā hai māh-e-kāmil se alag
jān-e-pur-hasrat huī yuuñ jism-e-bismil se alag
haath dāman se judā sar pā-e-qātil se alag
josh-e-vahshat meñ ba-rang-e-bū-e-gul āzād haiñ
us ke dīvāne rahe qaid-e-salāsil se alag
maiñ sitam-kash huuñ jahāñ meñ vo matā.a-e-nā-qubūl
barq bhī qismat se girtī hai to hāsil se alag
dekhnā kāfir butoñ kī shoḳhiyāñ bahr-e-ḳhudā
but-kade meñ chashm ke haiñ ka.aba-e-dil se alag
siina mujmir ġham sharar dil musht-e-ḳhas dam bād-e-tund
naala vo sho.ala ki ho ajzā-e-shāmil se alag
jam.a the ashk aañkh meñ mizhgāñ se phaile har taraf
mardum-e-kashtī-nashīñ hote haiñ sāhil se alag
lāzim-e-rū-e-munavvar hai tirā ḳhāl-e-siyāh
daaġh hotā hī nahīñ hai māh-e-kāmil se alag
allah allah imtiyāz-e-ijz-o-nāz-e-ishq-o-husn
sārbāñ kahtā hai majnūñ ko ki mahmil se alag
kisht se ḳhirman huā ḳhirman kā ye anjām hai
dāġh-e-barbādī uThāyā ranj-e-hāsil se alag
ittihād-e-zāt hai ma.anī magar idġhām-e-ishq
mil ga.e do dil to phir hote haiñ mushkil se alag
hijr-e-jānāñ meñ dimāġh-e-nāla-e-mauzūñ kahāñ
āshiyāñ apnā banā.eñge anādil se alag
be-ḳhudī dar-parda hai hangāma-sāz-e-anjuman
gosha-e-ḳhātir meñ haiñ vo ahl-e-mahfil se alag
maut hai goyā qadam rakhnā hai rāh-e-ishq meñ
ham-safar hone lage pahlī hī manzil se alag
ḳhvāb meñ bhī ham ko hai zauq-e-tamāshā-e-jamāl
dīda-e-bedār dil hai chashm-e-ġhāfil se alag
haif dard-e-saḳht-jānī vaa.e uzr-e-nāzukī
ho nahīñ saktā mirā sar dast-e-qātil se alag
ham ne dekhā rind-o-mast-e-be-ta.alluq hai 'zakī'
kufr-o-dīñ se be-ḳhabar haq aur bātil se alag
aate hain laKHt-e-jigar kaT kaT ke mushkil se alag
ju-e-KHun aankhon ko hoti hai rawan dil se alag
rakhiye kyon taswir-e-yar aaina-e-dil se alag
naqsh-e-hairat kab hua hai mah-e-kaamil se alag
jaan-e-pur-hasrat hui yun jism-e-bismil se alag
hath daman se juda sar pa-e-qatil se alag
josh-e-wahshat mein ba-rang-e-bu-e-gul aazad hain
us ke diwane rahe qaid-e-salasil se alag
main sitam-kash hun jahan mein wo mataa-e-na-qubul
barq bhi qismat se girti hai to hasil se alag
dekhna kafir buton ki shoKHiyan bahr-e-KHuda
but-kade mein chashm ke hain kaba-e-dil se alag
sina mujmir gham sharar dil musht-e-KHas dam baad-e-tund
nala wo shoala ki ho ajza-e-shamil se alag
jama the ashk aankh mein mizhgan se phaile har taraf
mardum-e-kashti-nashin hote hain sahil se alag
lazim-e-ru-e-munawwar hai tera KHal-e-siyah
dagh hota hi nahin hai mah-e-kaamil se alag
allah allah imtiyaz-e-ijz-o-naz-e-ishq-o-husn
sarban kahta hai majnun ko ki mahmil se alag
kisht se KHirman hua KHirman ka ye anjam hai
dagh-e-barbaadi uThaya ranj-e-hasil se alag
ittihad-e-zat hai mani magar idgham-e-ishq
mil gae do dil to phir hote hain mushkil se alag
hijr-e-jaanan mein dimagh-e-nala-e-mauzun kahan
aashiyan apna banaenge anadil se alag
be-KHudi dar-parda hai hangama-saz-e-anjuman
gosha-e-KHatir mein hain wo ahl-e-mahfil se alag
maut hai goya qadam rakhna hai rah-e-ishq mein
ham-safar hone lage pahli hi manzil se alag
KHwab mein bhi hum ko hai zauq-e-tamasha-e-jamal
dida-e-bedar dil hai chashm-e-ghafil se alag
haif dard-e-saKHt-jaani wae uzr-e-nazuki
ho nahin sakta mera sar dast-e-qatil se alag
hum ne dekha rind-o-mast-e-be-talluq hai 'zaki'
kufr-o-din se be-KHabar haq aur baatil se alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.