aatish-e-ishq mein kya kya nahin jalte dekha
aatish-e-ishq mein kya kya nahin jalte dekha
Meer Ali Ausat Rashk
MORE BYMeer Ali Ausat Rashk
ātish-e-ishq meñ kyā kyā nahīñ jalte dekhā
dil to kyā chiiz hai lohe ko pighalte dekhā
qadr-e-duniyā-e-do-roza hai fanā hone se
barg-rezī ko isī baaġh meñ phalte dekhā
roz-e-mahshar kī darāzī kī qasam detā huuñ
kah to de koī ki din hijr kā Dhalte dekhā
kū-e-qātil meñ ye pakvān hai ye khānā hai
bhūnte dekhe jigar hāthoñ ko talte dekhā
hijr-e-jānāñ meñ kahīñ jiine se marnā behtar
zindagānī ke maze ko yahīñ khalte dekhā
parvarish terī hai māhī-o-samundar se inaañ
koī paanī meñ koī aag meñ palte dekhā
chaukḌī bhuul ga.e mere havās-e-ḳhamsa
us kī bagghī ko saḌak par jo nikalte dekhā
misl-e-aurāq-e-shajar ranj-e-ḳhizāñ meñ ai 'rashk'
jis ko dekhā kaf-e-afsos hī malte dekhā
aatish-e-ishq mein kya kya nahin jalte dekha
dil to kya chiz hai lohe ko pighalte dekha
qadr-e-duniya-e-do-roza hai fana hone se
barg-rezi ko isi bagh mein phalte dekha
roz-e-mahshar ki daraazi ki qasam deta hun
kah to de koi ki din hijr ka Dhalte dekha
ku-e-qatil mein ye pakwan hai ye khana hai
bhunte dekhe jigar hathon ko talte dekha
hijr-e-jaanan mein kahin jine se marna behtar
zindagani ke maze ko yahin khalte dekha
parwarish teri hai mahi-o-samundar se inan
koi pani mein koi aag mein palte dekha
chaukDi bhul gae mere hawas-e-KHamsa
us ki bagghi ko saDak par jo nikalte dekha
misl-e-auraq-e-shajar ranj-e-KHizan mein ai 'rashk'
jis ko dekha kaf-e-afsos hi malte dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.