ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb
ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb
Rajinder Manchanda Bani
MORE BYRajinder Manchanda Bani
Interesting Fact
This was ghazal was written by Bani for his close friend 'Zeb' Ghauri.
ab ār-pār dhyān kī mash.al kahāñ hai 'zeb'
gunjān dard kā mire andar dhuāñ hai 'zeb'
gaaḌe siyāh meñ hai lahū kī lapak na lahr
kyuuñ is qadar bhī naqsh-e-nafas be-nishāñ hai 'zeb'
kyuuñ be-asar hai merī duā sahn-e-sub.h meñ
kyuuñ shab-kade meñ merī fuġhāñ rā.egāñ hai 'zeb'
kyuuñ muTThī-bhar sarāb se nuqsān-e-dasht hai
kyuuñ āñkh-bhar namī se chaman kā ziyāñ hai 'zeb'
kyoñ bādbāñ pe bojh hai ik buuñd os bhī
kis āb-e-nā-tavāñ meñ safīna ravāñ hai 'zeb'
kyoñ baar baar mujh se bichhaḌtā hai kaun hai
kyoñ moḌ moḌ mere liye imtihāñ hai 'zeb'
kyoñ ek ḳhvāb roz kī nīñdoñ pe hai muhīt
kyoñ ik varaq hī mere liye dāstāñ hai 'zeb'
ab arz-e-shash-jihat hai na dariyā-e-haft-mauj
mismār aañkh meñ 'adam-e-āsmāñ hai 'zeb'
tā-umr tere naam se likkhūñ ġhazal ġhazal
ik dard-e-mushtarak kā suḳhan darmiyāñ hai 'zeb'
ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai 'zeb'
gunjaan dard ka mere andar dhuan hai 'zeb'
gaDe siyah mein hai lahu ki lapak na lahr
kyun is qadar bhi naqsh-e-nafas be-nishan hai 'zeb'
kyun be-asar hai meri dua sahn-e-subh mein
kyun shab-kade mein meri fughan raegan hai 'zeb'
kyun muTThi-bhar sarab se nuqsan-e-dasht hai
kyun aankh-bhar nami se chaman ka ziyan hai 'zeb'
kyon baadban pe bojh hai ek bund os bhi
kis aab-e-na-tawan mein safina rawan hai 'zeb'
kyon bar bar mujh se bichhaDta hai kaun hai
kyon moD moD mere liye imtihan hai 'zeb'
kyon ek KHwab roz ki nindon pe hai muhit
kyon ek waraq hi mere liye dastan hai 'zeb'
ab arz-e-shash-jihat hai na dariya-e-haft-mauj
mismar aankh mein 'adam-e-asman hai 'zeb'
ta-umr tere nam se likkhun ghazal ghazal
ek dard-e-mushtarak ka suKHan darmiyan hai 'zeb'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.