ab hum ko nahin dekhne ye KHwab waghaira
ab ham ko nahīñ dekhne ye ḳhvāb vaġhaira
har samt nazar aate haiñ zahrāb vaġhaira
in āñkhoñ se piine ko mayassar hī nahīñ tū
honā hī nahīñ hai hameñ sairāb vaġhaira
mahfil ne tirī apnā bharam tak nahīñ rakkhā
kyā ḳhaak barat.te adab-ādāb vaġhaira
jo dard sahe saarī hiseñ mar ga.iiñ shāyad
ab dil mirā hotā nahīñ betāb vaġhaira
kis samt ko hai kuuch irāda hai kahāñ kā
kyoñ bāñdh ke rakkhe haiñ ye asbāb vaġhaira
chilman kā kaho bahr-e-ḳhudā parda haTā leñ
ab aur nahīñ baaqī tab-o-tāb vaġhaira
is vāste ye ḳhvāb-nagar bas nahīñ paatā
aate haiñ yahāñ roz hī sailāb vaġhaira
ab dhyān tirī samt lagā rahtā hai 'sādiq'
ab mujh se nahīñ hotī koī job vaġhaira
ab hum ko nahin dekhne ye KHwab waghaira
har samt nazar aate hain zahrab waghaira
in aankhon se pine ko mayassar hi nahin tu
hona hi nahin hai hamein sairab waghaira
mahfil ne teri apna bharam tak nahin rakkha
kya KHak baratte adab-adab waghaira
jo dard sahe sari hisen mar gain shayad
ab dil mera hota nahin betab waghaira
kis samt ko hai kuch irada hai kahan ka
kyon bandh ke rakkhe hain ye asbab waghaira
chilman ka kaho bahr-e-KHuda parda haTa len
ab aur nahin baqi tab-o-tab waghaira
is waste ye KHwab-nagar bas nahin pata
aate hain yahan roz hi sailab waghaira
ab dhyan teri samt laga rahta hai 'sadiq'
ab mujh se nahin hoti koi job waghaira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.