ab kahan taKHmina-e-sud-o-ziyan rakhta hun main
ab kahāñ taḳhmīna-e-sūd-o-ziyāñ rakhtā huuñ maiñ
be-makāñ huuñ rasm-o-rāh-e-lā-makāñ rakhtā huuñ maiñ
ek jannat-zād āñkhoñ meñ samāyā thā kabhī
aaj tak palkoñ pe bār-e-kahkashāñ rakhtā huuñ maiñ
kyā kahā rakhtā huuñ maiñ ranjish yazīd-e-vaqt se
baat niklī hai to sun le aaj haañ rakhtā huuñ maiñ
jis taraf bhī jā.iye hai gūñgī āñkhoñ kā hujūm
be-sabab āñkhoñ ko ab ratb-ul-lisāñ rakhtā huuñ maiñ
'ishq meñ aur jang meñ jaa.ez hai sab ye soch kar
shahr ko us ke ta.iiñ kuchh bad-gumāñ rakhtā huuñ maiñ
kūcha kūcha aap se mansūb apnā kuchh nahīñ
kis qadar begāna shahr-e-jism-o-jāñ rakhtā huuñ meñ
guftugū meñ ho zabāñ miqrāz-ḳhū lāzim nahīñ
be-zabānī meñ bhī ik taur-e-bayāñ rakhtā huuñ maiñ
Thokaroñ kī chiiz thī duniyā magar hai tāj-e-sar
kis jagah rakhnā thā is ko aur kahāñ rakhtā huuñ maiñ
āsmāñ sar par uThā lenā hai majbūrī 'nazīr'
dastaras meñ bas zamīñ par āsmāñ rakhtā huuñ maiñ
ab kahan taKHmina-e-sud-o-ziyan rakhta hun main
be-makan hun rasm-o-rah-e-la-makan rakhta hun main
ek jannat-zad aankhon mein samaya tha kabhi
aaj tak palkon pe bar-e-kahkashan rakhta hun main
kya kaha rakhta hun main ranjish yazid-e-waqt se
baat nikli hai to sun le aaj han rakhta hun main
jis taraf bhi jaiye hai gungi aankhon ka hujum
be-sabab aankhon ko ab ratb-ul-lisan rakhta hun main
'ishq mein aur jang mein jaez hai sab ye soch kar
shahr ko us ke tain kuchh bad-guman rakhta hun main
kucha kucha aap se mansub apna kuchh nahin
kis qadar begana shahr-e-jism-o-jaan rakhta hun mein
guftugu mein ho zaban miqraaz-KHu lazim nahin
be-zabani mein bhi ek taur-e-bayan rakhta hun main
Thokaron ki chiz thi duniya magar hai taj-e-sar
kis jagah rakhna tha is ko aur kahan rakhta hun main
aasman sar par uTha lena hai majburi 'nazir'
dastaras mein bas zamin par aasman rakhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.