ab ki rukna ya kisi samt mein chalna hoga
ab ki ruknā yā kisī samt meñ chalnā hogā
dil ne chāhā thā to dil hī ko sañbhalnā hogā
ḳhvāb ban kar mirī āñkhoñ meñ utarne vaale
she'r ban kar tire hoñToñ pe machalnā hogā
zindagī jin pe mire saath huā kartī thī
haa.e un rastoñ pe ab tanhā Tahalnā hogā
vo mire sāmne hai aañkh nahīñ lag saktī
niiñd ko aaj kī shab ḳhud hī bahalnā hogā
āḳhirī baat zarā pahle agar kar lete
duur jaanā hai to phir jaldī nikalnā hogā
aarzū terī sabhī bāteñ nahīñ chal saktīñ
vaqt ke saath tujhe thoḌā badalnā hogā
ab ki rukna ya kisi samt mein chalna hoga
dil ne chaha tha to dil hi ko sanbhalna hoga
KHwab ban kar meri aankhon mein utarne wale
she'r ban kar tere honTon pe machalna hoga
zindagi jin pe mere sath hua karti thi
hae un raston pe ab tanha Tahalna hoga
wo mere samne hai aankh nahin lag sakti
nind ko aaj ki shab KHud hi bahalna hoga
aaKHiri baat zara pahle agar kar lete
dur jaana hai to phir jaldi nikalna hoga
aarzu teri sabhi baaten nahin chal saktin
waqt ke sath tujhe thoDa badalna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.