ab saliben shah-rahon par saja di jaengi
ab salībeñ shāh-rāhoñ par sajā dī jā.eñgī
aks rah jā.eñge tasvīreñ haTā dī jā.eñgī
baat karne ko taras jā.eñge arbāb-e-vafā
bandisheñ itnī zabānoñ par lagā dī jā.eñgī
jin kitāboñ meñ vafā kā zikr aa.egā nazar
sabr kiije vo kitābeñ bhī jalā dī jā.eñgī
aap aur tum kā tasavvur bhī fanā ho jā.egā
jitnī qadreñ haiñ adab kī sab miTā dī jā.eñgī
muntazir rahiye mohabbat kā payambar aa.egā
jitnī sham.eñ bujh chukī haiñ sab jalā dī jā.eñgī
pī rahe haiñ jin meñ 'gauhar' log insāñ kā lahū
aisī ta.amīroñ kī buniyādeñ hilā dī jā.eñgī
ab saliben shah-rahon par saja di jaengi
aks rah jaenge taswiren haTa di jaengi
baat karne ko taras jaenge arbab-e-wafa
bandishen itni zabanon par laga di jaengi
jin kitabon mein wafa ka zikr aaega nazar
sabr kije wo kitaben bhi jala di jaengi
aap aur tum ka tasawwur bhi fana ho jaega
jitni qadren hain adab ki sab miTa di jaengi
muntazir rahiye mohabbat ka payambar aaega
jitni shamen bujh chuki hain sab jala di jaengi
pi rahe hain jin mein 'gauhar' log insan ka lahu
aisi tamiron ki buniyaaden hila di jaengi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.