ab to socha hai nai rah nikali jae
ab to sochā hai na.ī raah nikālī jaa.e
apne dushman kī taraf phūloñ kī Daalī jaa.e
buz-diloñ ke liye duniyā meñ nahīñ gunjā.ish
terī jur.at kā koī vaar na ḳhālī jaa.e
kyoñ na guftār se talvār kā masraf le leñ
kyoñ har ik baat pe shamshīr nikālī jaa.e
haram-o-dair ke sho.aloñ meñ jaleñ ham kab tak
zehn-e-jamhūr meñ ye baat bhī Daalī jaa.e
haram-o-dair ke mābain ho ulfat paidā
kyoñ na aisī koī tarkīb nikālī jaa.e
mas.ala pyaar se hal ho to bahut achchhā hai
ye zarūrī nahīñ shamshīr uThā lī jaa.e
haath meñ teġh laboñ par hai lahū kī surḳhī
dil ke album meñ ye tasvīr sajā lī jaa.e
log hātim ko bhulā deñ jo tumhāre dar se
dil-shikasta na kabhī koī savālī jaa.e
apnī har bhuul ko pāband-e-nadāmat kar ke
āqibat nār-e-jahannam se bachā lī jaa.e
maañ ke qadmoñ meñ hī jannat hai yaqīnan 'ahsan'
baat maañ kī na kisī haal meñ Taalī jaa.e
ab to socha hai nai rah nikali jae
apne dushman ki taraf phulon ki Dali jae
buz-dilon ke liye duniya mein nahin gunjaish
teri jurat ka koi war na KHali jae
kyon na guftar se talwar ka masraf le len
kyon har ek baat pe shamshir nikali jae
haram-o-dair ke shoalon mein jalen hum kab tak
zehn-e-jamhur mein ye baat bhi Dali jae
haram-o-dair ke mabain ho ulfat paida
kyon na aisi koi tarkib nikali jae
masala pyar se hal ho to bahut achchha hai
ye zaruri nahin shamshir uTha li jae
hath mein tegh labon par hai lahu ki surKHi
dil ke album mein ye taswir saja li jae
log hatim ko bhula den jo tumhaare dar se
dil-shikasta na kabhi koi sawali jae
apni har bhul ko paband-e-nadamat kar ke
aaqibat nar-e-jahannam se bacha li jae
man ke qadmon mein hi jannat hai yaqinan 'ahsan'
baat man ki na kisi haal mein Tali jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.