abr-e-baran yaad mein uski kab tak roya karna hai
abr-e-bārāñ yaad meñ us kī kab tak royā karnā hai
vaqt batā denā phir mujh ko yaañ pe sahrā karnā hai
tujh ko paane kī ḳhvāhish thī ab tujh ko paane ke ba.ad
ghanToñ baiThe sochā kartā huuñ ke ab kyā karnā hai
ai chārāgar vo aa.e aur maiñ bhī us ko dekh sakūñ
thoḌī bīmārī rakhnī hai thoḌā achchhā karnā hai
ab to aisā hai ki bas tash.hīr zarūrī hai sāhab
dikhlānā hai dariyā dariyā lekin qatra qatra karnā hai
ai ġham ye le dil merā par is pe qabza mushkil hai
so maiñ jaisā kahtā jā.ūñ tujh ko vaisā karnā hai
vaqt to zaayā na hotā jo pahle se ye jānte ham
kis par royā karnā hai aur kitnā royā karnā hai
abr-e-baran yaad mein us ki kab tak roya karna hai
waqt bata dena phir mujh ko yan pe sahra karna hai
tujh ko pane ki KHwahish thi ab tujh ko pane ke baad
ghanTon baiThe socha karta hun ke ab kya karna hai
ai chaaragar wo aae aur main bhi us ko dekh sakun
thoDi bimari rakhni hai thoDa achchha karna hai
ab to aisa hai ki bas tashhir zaruri hai sahab
dikhlana hai dariya dariya lekin qatra qatra karna hai
ai gham ye le dil mera par is pe qabza mushkil hai
so main jaisa kahta jaun tujh ko waisa karna hai
waqt to zaya na hota jo pahle se ye jaante hum
kis par roya karna hai aur kitna roya karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.