ada-e-nujum-o-qamar jaanta hun
adā-e-nujūm-o-qamar jāntā huuñ
mohabbat kī har rahguzar jāntā huuñ
nahīñ jāntā kaun rahbar hai merā
chalā jā rahā huuñ jidhar jāntā huuñ
rah-e-ishq-o-ulfat ko āsāñ na samjho
baḌī mushkiloñ kī Dagar jāntā huuñ
tamannā-e-dil ārzū-e-jigar ko
abas manzil-e-rahguzar jāntā huuñ
ye maanā ki gul-chīñ kī nazreñ haiñ mīThī
magar ḳhaar ab bāl-o-par jāntā huuñ
kabhī de diyā chāñdnī ne jo dhokā
hamesha maiñ shab ko sahar jāntā huuñ
na ab ham ko tarah-e-bahārāñ sunā tū
tirī bāġhbāñ har nazar jāntā huuñ
zamāne ke rangīñ talātum ko dekho
ki har sang-e-rah ko guhar jāntā huuñ
vo jām-e-mohabbat pilāyā jo tū ne
use zindagī kā samar jāntā huuñ
vahī husn kī bārgah terī ab bhī
kamī nūr-e-ahl-e-nazar jāntā huuñ
bulandī-e-ishq-o-mohabbat ki tujh ko
dil-o-jān o qalb-o-nazar jāntā huuñ
mirī āstīñ hī se nikleñge dushman
jinheñ aaj tak be-ḳhabar jāntā huuñ
nahīñ jānte mujh ko ab tak vo 'rahbar'
ki jin kī maiñ ik ik nazar jāntā huuñ
ada-e-nujum-o-qamar jaanta hun
mohabbat ki har rahguzar jaanta hun
nahin jaanta kaun rahbar hai mera
chala ja raha hun jidhar jaanta hun
rah-e-ishq-o-ulfat ko aasan na samjho
baDi mushkilon ki Dagar jaanta hun
tamanna-e-dil aarzu-e-jigar ko
abas manzil-e-rahguzar jaanta hun
ye mana ki gul-chin ki nazren hain miThi
magar KHar ab baal-o-par jaanta hun
kabhi de diya chandni ne jo dhoka
hamesha main shab ko sahar jaanta hun
na ab hum ko tarah-e-bahaaran suna tu
teri baghban har nazar jaanta hun
zamane ke rangin talatum ko dekho
ki har sang-e-rah ko guhar jaanta hun
wo jam-e-mohabbat pilaya jo tu ne
use zindagi ka samar jaanta hun
wahi husn ki bargah teri ab bhi
kami nur-e-ahl-e-nazar jaanta hun
bulandi-e-ishq-o-mohabbat ki tujh ko
dil-o-jaan o qalb-o-nazar jaanta hun
meri aastin hi se niklenge dushman
jinhen aaj tak be-KHabar jaanta hun
nahin jaante mujh ko ab tak wo 'rahbar'
ki jin ki main ek ek nazar jaanta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.