agar laga ki main ye jang haar sakta hun
agar lagā ki maiñ ye jang haar saktā huuñ
to dil hī kyā mirī jaañ jaañ bhī vaar saktā huuñ
tū hausla to zarā rakh ki vaqt aane par
tire liye maiñ ḳhudā ko pukār saktā huuñ
mire yaqīn-o-junūñ kā tū imtihāñ mat le
maiñ pāniyoñ pe tirā naam ubhār saktā huuñ
jin āsmānoñ ke tū ḳhvāb buntī hai un kī
maiñ is zamīn pe tā'bīr utaar saktā huuñ
abhī giraft se bāhar ye kā.enāt nahīñ
bigāḌ saktā huuñ is ko sañvār saktā huuñ
agar laga ki main ye jang haar sakta hun
to dil hi kya meri jaan jaan bhi war sakta hun
tu hausla to zara rakh ki waqt aane par
tere liye main KHuda ko pukar sakta hun
mere yaqin-o-junun ka tu imtihan mat le
main paniyon pe tera nam ubhaar sakta hun
jin aasmanon ke tu KHwab bunti hai un ki
main is zamin pe ta'bir utar sakta hun
abhi giraft se bahar ye kaenat nahin
bigaD sakta hun is ko sanwar sakta hun
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 59)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.