agarche aaj bhi zinda hain lekin kal mein rahna hai
agarche aaj bhi zinda hain lekin kal mein rahna hai
Sadiya Roshan Siddiqui
MORE BYSadiya Roshan Siddiqui
agarche aaj bhī zinda haiñ lekin kal meñ rahnā hai
musalsal irtiqā ke dasta-e-avval meñ rahnā hai
abhī ham saañs lene ke bahāne saañs rokeñge
kashākash aur kashish ke āhanī chungal meñ rahnā hai
ye dil hai ki gul-e-nāzuk ajab hai is kā mustaqbil
use angār ban ke dard kī minqal meñ rahnā hai
huī thī barf-bārī to vahāñ koh-e-girāñ ham the
isī baa.is to ab sulge hue jangal meñ rahnā hai
havā meñ ḳhvāhish-e-pardāz ne bhī par nikāle haiñ
zamīn-e-rizq hai mujh ko isī daldal meñ rahnā hai
shikāyat kā mahal kyā hai maqām-e-rahm hai ye to
mire qātil ko ā.inda isī maqtal meñ rahnā hai
tumhārī yaad kā sāvan barastā hai barasne do
ki Dūbūñ yā tirūñ mujh ko isī jal-thal meñ rahnā hai
ibārat meñ maqām-o-martaba to baa'd kī shai hai
abhī qirtās par mauhūm se jadval meñ rahnā hai
hamesha 'sa.adiya' ko mausamoñ kā saath denā hai
kabhī khaddar pahannā hai kabhī maḳhmal meñ rahnā hai
agarche aaj bhi zinda hain lekin kal mein rahna hai
musalsal irtiqa ke dasta-e-awwal mein rahna hai
abhi hum sans lene ke bahane sans rokenge
kashakash aur kashish ke aahani chungal mein rahna hai
ye dil hai ki gul-e-nazuk ajab hai is ka mustaqbil
use angar ban ke dard ki minqal mein rahna hai
hui thi barf-bari to wahan koh-e-giran hum the
isi bais to ab sulge hue jangal mein rahna hai
hawa mein KHwahish-e-pardaz ne bhi par nikale hain
zamin-e-rizq hai mujh ko isi daldal mein rahna hai
shikayat ka mahal kya hai maqam-e-rahm hai ye to
mere qatil ko aainda isi maqtal mein rahna hai
tumhaari yaad ka sawan barasta hai barasne do
ki Dubun ya tirun mujh ko isi jal-thal mein rahna hai
ibarat mein maqam-o-martaba to ba'd ki shai hai
abhi qirtas par mauhum se jadwal mein rahna hai
hamesha 'sadiya' ko mausamon ka sath dena hai
kabhi khaddar pahanna hai kabhi maKHmal mein rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.