agarche qatra hun aur bahr se juda bhi nahin
agarche qatra huuñ aur bahr se judā bhī nahīñ
magar ye kyā hai ki maiñ bahr-āshnā bhī nahīñ
ye justujū tirī laa.ī hai kis jagah mujh ko
yahāñ to koī tirā sūrat-āshnā bhī nahīñ
dikhā kuchh apnī ziyā tū hī dāġh-e-nākāmī
ki ab to jalva-e-ummīd kā patā bhī nahīñ
ilāhī kis kā sahārā vufūr-e-zof meñ luuñ
laboñ pe ab to mire āh-e-nā-rasā bhī nahīñ
vo ek tum ki mire mudda.ā-e-sar-tā-pā
vo ek maiñ ki jise izn-e-iltijā bhī nahīñ
na kārvāñ kā pata hai na rah-ravāñ kā nishāñ
ajab hai rāh-e-adam jis meñ naqsh-e-pā bhī nahīñ
ḳhayāl-e-yār hī ḳhizr-e-rah-e-mohabbat hai
na chhūT jaa.e to phir koī rahnumā bhī nahīñ
urūs-e-dahr dikhātī hai kyoñ jamāl mujhe
mire junūñ ko to is but se vāsta bhī nahīñ
agarche qatra hun aur bahr se juda bhi nahin
magar ye kya hai ki main bahr-ashna bhi nahin
ye justuju teri lai hai kis jagah mujh ko
yahan to koi tera surat-ashna bhi nahin
dikha kuchh apni ziya tu hi dagh-e-nakaami
ki ab to jalwa-e-ummid ka pata bhi nahin
ilahi kis ka sahaara wufur-e-zof mein lun
labon pe ab to mere aah-e-na-rasa bhi nahin
wo ek tum ki mere muddaa-e-sar-ta-pa
wo ek main ki jise izn-e-iltija bhi nahin
na karwan ka pata hai na rah-rawan ka nishan
ajab hai rah-e-adam jis mein naqsh-e-pa bhi nahin
KHayal-e-yar hi KHizr-e-rah-e-mohabbat hai
na chhuT jae to phir koi rahnuma bhi nahin
urus-e-dahr dikhati hai kyon jamal mujhe
mere junun ko to is but se wasta bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.