ahl-e-haq ki baaton se jo nazar churaega
ahl-e-haq kī bātoñ se jo nazar churā.egā
vaqt ek din us ko aa.ina dikhā.egā
jism kā har ik hissa ḳhushbueñ bikheregā
lams merī sāñsoñ kā jab asar dikhā.egā
fasl-e-gul kī aamad hai chaak hoñge phir dāman
phir junūñ kī vaadī kā rāsta bulā.egā
ḳhūn-e-ārzū apnā nazr-e-gulsitāñ kar do
tab guloñ ke chehre par kuchh nikhār aa.egā
eqtidār-o-mansab kī jang roz jaarī hai
kaun qadr-e-insāñ kī fasl ab ugā.egā
harakat-o-amal meñ haiñ kāmrāniyāñ muzmar
manzileñ usī kī haiñ jo qadam baḌhā.egā
tum bhī Duub jāoge ḳhush-gavār yādoñ meñ
jab kabhī ġhazal merī koī gungunā.egā
hai 'nadīm' kuchh aisī dāstān-e-dil apnī
sun ke husn ro.egā ishq muskurā.egā
ahl-e-haq ki baaton se jo nazar churaega
waqt ek din us ko aaina dikhaega
jism ka har ek hissa KHushbuen bikherega
lams meri sanson ka jab asar dikhaega
fasl-e-gul ki aamad hai chaak honge phir daman
phir junun ki wadi ka rasta bulaega
KHun-e-arzu apna nazr-e-gulsitan kar do
tab gulon ke chehre par kuchh nikhaar aaega
eqtidar-o-mansab ki jang roz jari hai
kaun qadr-e-insan ki fasl ab ugaega
harakat-o-amal mein hain kaamraniyan muzmar
manzilen usi ki hain jo qadam baDhaega
tum bhi Dub jaoge KHush-gawar yaadon mein
jab kabhi ghazal meri koi gungunaega
hai 'nadim' kuchh aisi dastan-e-dil apni
sun ke husn roega ishq muskuraega
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 73)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مکتبہ نعیمہ صدر بازار(مئو ناتھ بھنجن) (2020)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.