ai barq-e-tajalli fikr hai ye kya tera bharam rakh paungi
ai barq-e-tajalli fikr hai ye kya tera bharam rakh paungi
Sufiya Deepika Kausar
MORE BYSufiya Deepika Kausar
ai barq-e-tajallī fikr hai ye kyā terā bharam rakh pā.ūñgī
mushtāq to hai dil jalvoñ kā āñkheñ vo kahāñ se lā.ūñgī
ushshāq kī mahfil ḳhuub magar kyā kaam mirā jab tū hī nahīñ
dāman ko sameTūñgī apne ḳhāmoshī se uTh jā.ūñgī
dekho to shikan peshānī kī ehsās karo to uljhan kā
ḳham aa bhī ga.e kākul meñ agar kaahe ko inheñ suljhā.ūñgī
sab husn ke āshiq haiñ tere kāfir kā bhī tū vaa.iz kā bhī tū
bas ab ye batā ai harjā.ī kyā maiñ hī terā ġham khā.ūñgī
bas thoḌī sī bārish husn-e-azal tūfāñ kī zarūrat hai hī nahīñ
patthar to nahīñ ki bah na sakūñ ḳhāshāk huuñ maiñ bah jā.ūñgī
ik ālam-e-jazb-o-mastī hai mat pūchh tamanna 'kausar' kī
kuchh aur zarā baḌh jaa.e junūñ har taur tirī ho jā.ūñgī
ai barq-e-tajalli fikr hai ye kya tera bharam rakh paungi
mushtaq to hai dil jalwon ka aankhen wo kahan se laungi
ushshaq ki mahfil KHub magar kya kaam mera jab tu hi nahin
daman ko sameTungi apne KHamoshi se uTh jaungi
dekho to shikan peshani ki ehsas karo to uljhan ka
KHam aa bhi gae kakul mein agar kahe ko inhen suljhaungi
sab husn ke aashiq hain tere kafir ka bhi tu waiz ka bhi tu
bas ab ye bata ai harjai kya main hi tera gham khaungi
bas thoDi si barish husn-e-azal tufan ki zarurat hai hi nahin
patthar to nahin ki bah na sakun KHashak hun main bah jaungi
ek aalam-e-jazb-o-masti hai mat puchh tamanna 'kausar' ki
kuchh aur zara baDh jae junun har taur teri ho jaungi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.